WhatsApp Chat ko permanently Archive Kaise Kare
WhatsApp chat ko permanently archive kaise kare iss post me hum janenge so agar aap whatsapp user hai aur whatsapp par apne kisi friend ki chat hamesha ke liye archive rakhna chahte hai, whatsapp chat list page me show nahi karna chahte hai aur nahi janate ki whatsapp me kisi chat ko permanently hide kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Aap easily whatsapp par par kisi bhi friend ki chat ko archive kar sakte hai iske liye apni whatsapp chat list page me uss chat par log press karke select kare jisse archive karna hai aur select karne ke baad top side me archive option par click karke chat archive kar sakte hai.
Lekin chat archive karne ke baad agar archive person koi message send karta hai to vo fir se aapki chat list page me show hona start ho jayega uska message milte hi chat list me fir se vo person add ho jayega.
Agar aap permanent archive karna chahte hai agar aap chahte hai jiss user ko archive kiya hai vo always aapki chat list se hide rahe to iske liye aapko kya karna hai chaliye step by step iss post me janate hai.
WhatsApp Chat ko permanently Archive Kaise Kare
1 Sabse pehle WhatsApp open kare.
2 Iske baad jiss chat ko hide karna hai uspar Long press karke select kare.
3 Ab top side me Archive option par click kare.
4 Iske baad top right corner me 3 vertical dots par click kare.
5 Ab jo options aayenge inme Settings option par click kare.
6 Ab whatsapp settings page me Chats option par click kare.
7 Iske baad next interface me Keep chats archived option ko enable kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab jiss person ko bhi aapne hide kiya hai jo bhi chat aapne archive ki hai vo hamesha ke liye archive rahegi chat list page me show nahi hogi jabtak aap wapas unarchive nahi kar dete hai tab tak archived chats hide hi rahegi.
I hope ab aap samajh gaye honge ki whatsapp par archive chats ko permanently hide kaise karte hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.