X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Me Chat Backup and Restore Kaise Kare

Whatsapp me chat backup and restore kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne whatsapp ki all chats ka backup google drive account me upload karna chahte hai aur nahi janate ki whatsapp me backup on kaise karte hai to iski puri jankari iss post me aapko mil jayegi.

Apne whatsapp account me backup enable karke aap automatically apni all whatsapp chats ko google drive me upload kar sakte hai, aur fir apni deleted whatsapp chats ko easily restore bhi kar sakte hai, whatsapp backup and restore ki puri jankari ke liye iss post ko dhyab se padhe.

WhatsApp Me Chat Backup and Restore Kaise Kare

Apne whatsapp account me all chats ka backup lene ke liye aapko whatsapp me apna google account add karna hoga tabhi aapki whatsapp chats ka backup google drive me automatically upload hona start ho jayega, niche diye easily steps ko follow karke aap whatsapp backup enable kar sakte hai.

1 Sabse pehle apna Whatsapp open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.

3 Ab jo options aayenge inme Settings option par click kare.

4 Iske baad settings page me Chats option par click kare.

5 Ab chats setting me Chat backup option par click kare.

  • Iske baad Google account option par click karke apni gmail id select kare.
  • Frequency option par click karke Daily option ko select kare.
  • Include videos option ke samne Toggle button ko enable kar dijiye.

Iske baad aapke whatsapp me backup option on ho jayega aur iske baad aapki all whatsapp chats ka backup automatically aapke google drive account me upload hona start ho jayega.

Ab agar galati se aapki koi chat delete ho jati hai to deleted chat ko aap easily recover kar sakte hai, lekin iske liye aapko apna whatsapp uninstall karke reinstall karna hoga, iske liye niche diye steps follow kare.

Restore Whatsapp Chat Backup

1 Sabse pehle Playstore me jaye aur Whatsapp uninstall kare.

2 Iske baad whatsapp ko Reinstall karke Open kare.

  • Language select karke Right aero icon par click kare.
  • Agree and continue option par click kare.
  • Phone number enter karke Next option par click kare.
  • Mobile me aaya hua OTP code enter kare.
  • Ab ek popup open hoga isme Continue option par click kare.
  • Iske baad apne Contacts aur Media ka access allow kare.

3 Ab aapke whatsapp ka backup search hokar aapke samne aa jayega yahapar Restore option par click kare.

4 Iske baad aapka backup whatsapp me restore ho jayega yahapar Next option par click kare.

5 Ab aapki profile photo aur name edit change karne ka option aayega yahapar bhi Next option par click kar dijiye.

Ab aapke whatsapp chat list page me aapki all chats restore ho jayegi agar koi chat delete ho gayi hogi to vo bhi restore hokar wapas aa jayegi, iss tarah se aap whatsapp par chat backup ko enable kar sakte hai aur backup ko wapas whatsapp me restore bhi kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp chat backup aur restore kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More