X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Chats New Phone Me Transfer Kaise Kare – Move Whatsapp Account

Whatsapp chats new phone me transfer kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aapne new device purchase kiya hai aur ab old mobile phone se apne whatsapp account ko naye phone me move karna chahte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.

Whatsapp account ko aap agar direct apne new phone me install karke open karenge to uss device me aapka whatsapp open to ho jayega lekin agar aapne backup create nahi kiya to aapko apne whatsapp ka old data nahi milega.

Isliye agar aap nahi janate hai ki whatsapp chats ko full backup ke sath apne new phone me transfer kaise karte hai to iss post me bataye gaye tarike ka use karke aap easily whatsapp account ko apne naye device me use kar sakte hai, puri jankari ke liye ye post padhe.

WhatsApp Chats New Phone Me Transfer Kaise Kare – Move Whatsapp Account

1 Sabse pehle apne old device me Whatsapp open kare.

2 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.

3 Iske baad Settings option par click kare.

4 Ab Chats option par click kare.

5 Chats settings me Chat backup option par click kare.

6 Ab next interface me Google account option par click karke apna Email add or select kare.

7 Gmail select karne ke baad top side me Backup button par click kare.

8 Backup process complete hone ke baad apna Whatsapp uninstall kare.

9 Ab new phone me Playstore se whatsapp install kare.

10 Iske baad downloaded whatsapp ko open karke Agree and continue button par click kare.

11 Ab apna 10 digits ka Mobile number enter karke Next button par click kare.

12 Ab next interface me apne mobile par aaye OTP code ko enter kare.

13 Iske baad kuch Popups aayenge to sabhi ko Allow kare.

14 Ab next interface me Restore button par click kare.

15 Iske baad aapka Backup find ho jayega to yahapar Next button par click kare. Note:- new phone me same gmail id se login hona chahiye.

16  Ab ek popup open hoga to isme Restore now option par click kare.

17 Iske baad next interface me apna Profile name enter kare aur Next button par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya next button par click karte hi aapka whatsapp account full bakup ke sath new phone me transfer ho jayega.

 

I hope, whatsapp chats new phone me transfer kaise kare vo bhi full backup ke sath ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More