X
    Categories: WHATSAPP

Whatsapp Business Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare

Whatsapp Business hack hai ya nahi kaise pata kare iss post me hum janenge, so agar aap business whatsapp ka use karte hai aur aapko doubt hai ki aapka whatsapp business account shayd hack ho gaya hai, to iss post me bataye steps ko follow karke aap iska pata laga sakte hai.

Agar aapka business whatsapp account hack ho jata hai to hacker aapke phone ko bhi hack kar sakta hai, whatsapp business ke through otp receive karke aapka mobile hack kar sakta hai, aise me aapko time to time ye check karte rehna chahiye ki aapka business whatsapp hacked hai ya nahi.

Iske alawa hacker aapka whatsapp business hack karke aapki personal chats ka bhi misuse kar sakta hai, to chaliye ab step by step janate hai ki whatsapp business account hacked hai ya nahi kaise pata karte hai.

Whatsapp Business Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare

1Sabse pehle apna Whatsapp Business open kare.

2Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3Ab jo option aayenge inme Linked devices option par click kare.

4Iske baad next interface me aapko pata chal jayega ki aapka business whatsapp hacked hai ya nahi.

  • Yahapar Link a device option par click karke hum apne business whatsapp ko apne hi dusre device se link kar sakte hai,
  • Lekin agar aapne apne business whatsapp ko kisi bhi device me link nahi kiya hai aur fir bhi yahapar koi Unknown device aapko dekhayi de raha hai, to fir aapka business whatsapp hacked hai.
  • Aise me bina time waste kiye Unknown device par click kare.
  • Iske baad next interface me top right corner me 3 dots par click kare.
  • Aur fir Remove device option par click karke unknown device ko remove kar dijiye.

Iske alawa aap dusre tarike bhi pata laga sakte hi ki aapke whatsapp business ki chats hacked hai ya nahi, iske liye niche diye steps follow kare.

1Whatsapp ki Settings open kare.

2Iske baad Chats option par click kare.

3Chat settings me Chat backup option par click kare.

  • Ab chat backup me google account option me agar koi Unknown google account selected hai.
  • Aur automatic backups option me Daily option selected hai to iska matlab hai ki aapke whatsapp business ka chat backup kisi unknown google account par upload ho raha hai.
  • Aise me aapki sabhi chats hacker easily access kar raha hoga.
  • Isliye yahapar Google account option par click kare.
  • Aur fir apna Google account select kar lijiye.

Iske baad apne whatsapp business account me sabhi jaruri security settings jaise ki passkeys, email address aur two step verification ko on kar dijiye.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki whatsapp business hack hai ya nahi kaise pata karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More