Whatsapp par auto reply enable kaise kare aaj ki iss video me mein aapko batane wala hu. Yani ki agar aapko koi whatsapp friend aapko koi message send karta hai. To uss message ka auto reply whatsapp par chala jayenge.
So ab agar aapka koi friend aapko message bhejta hai aur mobile aapke nazdik nahi hai tab aapke uss friend ko uss message ka jawab apne aap send ho jayega. Hai na friends kamal ki aur mindblowing trick to ab aapko iss whatsa trick ke liye kya karna hai chaliye step by steps janate hai.
WhatsApp Latest Trick : Whatsapp Par Auto Reply Enable Kaise Kare
- Whatsapp Par Block Karne Wale ka Last Seen Kaise Dekhe
- Whatsapp Par Kisne Block kiya Aise Check Kare
Step 1. Sabse pehle apne android mobile phone me playstore open kare aur AutoResponder for WA app ko install kare.
Step 2. App install hone ke baad isse open kare aur Nottification setting button par click kar grant permissions ko allow kare.
Step 3. Ab next interface me aapke samne jo page open hoga yahapar aapko Should be answered ke option par click kare.
Step 4. Ab jiss message ka reply aap automatically send karna chahte hai usse add kare. For example yahapar aap “Hi” type kare aur niche Right ke icon par click kare.
Step 5. Iske baad agle page me aapko Should be sent ke option me “Hi” message ka reply add karna hai. For example agar koi bhi “Hi” send karta hai to uske reply me “Hello” message send karna hai to yahapar type kare.
Step 6. Finally aapko yahapar right ke icon par click karna hai iss tarah se ye set ho jayega.
Issi tarah se aap yahapar plus (+) ke icon par click kar unlimited questions answer add kar sakte hai uske baad whatsapp par added message receive hone ke baad uska auto whatsapp reply send ho jayega.
So i hope, whatsApp latest trick : Whatsapp par auto reply enable kaise kare ab aap samajh hi gaye honge agar aapko post acchi lagi ho to iss share jarur kare.