ANDROID

Video Ki Audio Ko Text Me Convert Kaise Kare

Video ki audio ko text me convert kaise kare iss post me mein aapko bataunga so agar aap kisi bhi video ko text me badalna chahte hai, video ki audio se text ko extract karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.

Kisi bhi video ko text me convert karne ke liye kisi bhi app ko install karne ki jarurat nahi hai, bina kisi app ko download kiye easily aap koi bhi video text me convert kar sakte hai, iske liye aapko kya karna hai kaise video ki audio ko transcribe karna hai aaiye step by step janate hai.

Video Ki Audio Ko Text Me Convert Kaise Kare

1 Sabse pehle Google chrome open kare.

2 Iske baad Maestra Suite ki website open kare.

3 Ab jo next interface open hoga isme Get started free option par click kare.

4 Iske baad next interface me top right corner me 3 vertical dots par click kare.

5 Ab jo option aayenge inme Desktop site option ko check kare.

6 Iske baad aapka browser desktop mode me open ho jayega aur ek popup window open ho jayegi isme popup me:

  • Email address option me apna email enter kare.
  • Password ki field me new password generate kare.
  • Register option par click kare.

7 Ab apna Email inbox open kare aur maestra ki Email open kare.

8 Email me diye gaye Link par click kare.

9 Link par click karte hi aapki email id verify ho jayegi aur ek popup open ho jayega isme Transcription option par click kare.

10 Iske baad browser ke top right hand side me New transcription option par click kare.

11 Ab ek popup window open hogi to isme;

  • My device option par click karke mobile gallery ki video ko text me convert kar sakte hai.
  • Google drive, dropbox, zoom or instagram option par click karke uss platform ki video ko transcribe kar sakte hai.
  • Link option par click karke kisi bhi online video ka link ke through uss video ko transcribe kar sakte hai.

12 Agar youtube video ko text me convert karna hai to yahapar Link option par click kare.

13 Ab next interface me video link enter karne ka option aa jayega.

  • Youtube open kare aur jiss video ko text me convert karna hai uska Link copy kare.
  • Wapas maestra browser me aaye aur Copied link paste karke Import option par click kare.

14 Video import hone ke baad Select audio language option par click kare.

15 Iske baad video ki Language select kare.

16 Finally Submit option par click kar dijiye.

Submit option par click karte hi video ki audio text me convert hona start ho jayegi aur kuch hi der me transcribe ho jayegi isliye yahapar thoda sa wait kare.

Transcription process complete hone ke baad video par click karenge to aapki video ki audio ka pura text aapke samne extract hokar aa jayega, iss tarah se aap kisi bhi video ko text me badal sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki video ko text me convert kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.