V LOOKUP
Step 1
Sabse pehle ek table banaiye school student ke marks aur grade ko show karne ke liye, jaisa ki neeche diya hua hai.
Step 2
Ab hamko student ke average ke hisab sey unka result dalna hai, iske liye aapko criteria set karna hoga jaise ki man lete hai. 0-35 number wale student ka result FAIL show karey, 35-50 waley ka Grade C, 50-75 ke liye Grade B, 75-100 ke liye Grade A aur 100 se above ke liye A+. iss criteria ko table ke sath set karein, same as below.
Upar table mein jo aapko yellow color ka column dikh raha hai vahi par result show hoga.
Step 3
Ab hamey student naam ke aagey “I “column mein V Lookup ki command lagani hai. jisse ki har ek student ka grade aur result pata lag jayega. jesa ki neechey dekh sakte hai.
Formula iss tarah se hoga.
=VLOOKUP(LOOKUP_VALUE,TABLE_ARRAY,COL_INDEX_NUM,[RANGE_LOOKUP])
=VELOOKUP(
Formula start karne ke liye.
LOOKUP_VALUE
Yaha par average wali cell ko dalna hai.
TABLE_ARRAY
Yaha par jo humne criteria set kiya hai usska cell address dalne hai, jaisa (K2 se lekar L6).
COL_INDEX_NUM
Yaha pe hamey 2 dalna hai kyuki humarey criteria ke hisab se 1 index mein number range hai jaisa image me dikh raha hai, 35,50,75 aur 100, inn number range ke hisab se unke aage jo agli cell me jo grade diye hai unko show karna hai, jo ki criteria ke 2nd number par hai isliye 2 dalna hai.
[RANGE_LOOKUP]
Yaha pe 1 dalna hai kyuki 1 approximately (lagbhag) match ke liye hota hai aur 0 exact (bilkul) match ke liye, aur jo jo student ki average hogi vo criteria se upar neeche ho sakti hai.
Last mein brecket ko band kar dent hai, aur sath hi sath TABLE_ARRAY mein dollar sign bhi jodna hai. jaise formula neeche diya hua hai.
=VLOOKUP(H3,$K$2:$L$6,2,1)
Ab upar diya hua formula sab naam ke aagey average waley column mei copy karke paste kani hai. result taiyar jaisa ki aap neechey image mein dekh sakte hai.
H LOOKUP
Step 3
Neeche result bhi horizontal view me show hoga.
H Lookup mein table ke sath sath table arrey ko bhi horizontaly dalna hota hai bus issi difference ke alawa sab kuch V Lookup ki tarah karna hai.
Dosto iss post mein agar kuch samajh mein nahi aaya ho to aap mujhe comment karke bhi bata sakte hai.aur. aagey ki jaankari mein agli post mein batauga.
View Comments (6)
Sir H look up ,V look up & Pirat Table ka farmoula send kar dejye plz Sir...
iska formula aap upar post me dekh sakte hai, aur pivot table function aapko insert tab ke under mil jayega.
Hello sir mera nam sumit hai sir jise home menu ke sare tools ki jankar aapne diya hai thik usi trha mujhe insert menu ki jankari chai so plese sir jald se jald aap ye post kare mujhe jwruri hai
Sumit ji me bhot jald iske bare me post publish karne wala hu
Thanku sir jitna jaldi hota hai send kigye plese lakIn sir mujhe notice kaise hoga ki aap ne write kare post kar diya hai
Iske liye hinglish help ko subscribe kijiye