X
    Categories: GOOGLE

Google TV App Delete Kaise Kare

Google tv app delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aap google tv user hai aur google tv uninstall karna chahte hai aur nahi janate ki google tv remove kaise karte hai to aaj ki post aapke liye hi hai, iss post me aap google tv app ko uninstall karne ke bare me sikh jayenge.

Apne android phone me google tv app ko uninstall or delete karna koi mushkil kaam nahi hai ab aap kabhi bhi apne device me gooble tv ko uninstall kar sakte hai agar google tv phone ki core app nahi hai to aur agar core app hai to aap google tv ko disable kar sakte hai.

Pehle ke devices me google tv uninstall karne ka koi option nahi tha uninstall karne ki bajay aap google tv ko force stop karke disable karte sakte they lekin ab new high end devices me google tv uninstall delete karna bahut hi easy hai kaise google tv uninstall karte hai chaliye niche diye steps me janate hai.

Google TV App Delete Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Phone ki settings open kare.

2 Iske baad App list option par click kare.

3 Ab next interface me App management option par click kare.

4 Iske baad aapke phone ki app list open hogi to yahapar Google tv app par click kare.

5 Ab next interface me aapko google tv app remove karne ka option mil jayega yahapar Uninstall option par click kar dijiye.

Uninstall option par click karte hi aapke device se google tv successfully uninstall ho jayega, iss tarah se easily aap apne phone se google tv ko hamesha ke liye remove kar sakte hai.

I hope, google tv app uninstall kaise karte hai ab aap samajh gaye honge agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More