Dosto aaj ki iss post me hum janenge ki kaise block websites ko unblock karte hai. Ye to aap jaante hi honge ki websites kayi tarah ki hoti hai kuch acchi aur kuch aapke system ke liye harmful aur dangerous.
Ho sakta hai ki ye websites aapke computer me pehle se hi blocked ho. Aur inn block websites ki vajah se aap kayi dusri sites ko open nahi kar pa rahe ho.
Kyuki ye sites aur inse related sites aapke computer or pc me block ho sakti hai. Iska karan hota hai security reasons, chaliye step by step janate hai ki kaise block websites ko unblock karte hai.
Block Websites Ko Unblock Kaise Kare Apne Computer Me Hindi Jaankari
Mein aapko do method bata raha hu block websites ko unblock karne ke. Agar aap apne computer me restricted website ko unblock karna chahte hai to nich diye steps follow kare.
- Photoshop Se Passport Size Photo Kaise Banaye
- Photoshop Tools Ki Basic Jaankari
- Photo Ka Background Kaise Change Kare Photoshop Se
Method# 1 Computer Me Host File Remove Kare
Step 1
Sabse pehle apne computer me window explorer open kare. Iske baad C:\Windows\System32\drivers\etc me jaye. Iss path ko aap Window+R key se bhi run kar sakte hai. Ab aapko ek hosts name se ek file show hogi, iss file ko notepad format me open kare.
- Hosts file par right click kare aur open option par click kare.
- Notepad select karke open kare.
Step 2
Iske baad aapke samne jo notepad file khulegi usme bottom side me IP address ke saath block sites hogi. Aapko jo site remove karni hai uski poori line ko select karke delete kare. Aur notepad file ko save karke band kar dijiye.
Ab aapko google chrome ko band karke dubara se kholna hai. Iske baad block site ko open karke aap effect dekh sakte hai ki vo sabhi sites khul rahi hai.
- Excel Keyboard Shortcuts Kya Hai Basic Jaankari
- Advance Excel Me Concatenate Formula Ka Use Kaise Kare
- Advance Excel Insert Chart Ka Use Kaise Kare
Method# 2 Google Chrome Se Restricted Sites List Ko Remove Kare
Step 1
Sabse pehle google chrome browser ko open kare.
- Top right side me dropdown par click kare.
- History par click kare.
Step 2
Iske baad bottom side me Show advanced settings me jaye. Aur Change Proxy Settings ke option par click kare.
Step 3
Ab ek popup box open hoga isme niche diye steps follow kare.
- Security tab par click kare.
- Restricted sites ke option par click kare.
- Sites button par click kare.
Step 4
Iske baad ek aur option box open hoga isme aap dekhenge ki websites ke box me pehle se koi site add hai. Iska matlab hai ki vo site aapke chrome browser me restricted hai, isse unblock karna hai.
- Website ko select kare.
- Remove button par click kare.
- OK button par click kar dijiye.
Ab aapko google chrome band karke restart karna hai. Ab aap restricted site ko open kare aap dekhenge ki ab ye website open ho rahi hai.
Ye Bhi Padhe
- Computer Me WhatsApp Kaise Chalaye
- Internet Se Paise Kaise Kamaye Make Money Online
- Youtube Se Paise Kaise Kamaye
- Facebook Se Paise Kaise Kamaye
- Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare
- PAN Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare
I hope aapko block website ko unblock kaise karte hai ye jaankari acchi lagi hogi. Agar aapka iss post se related koi saval hai to comment kar sakte ho. Aur agar ye jaankari aapko pasand aayi ho to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.
View Comments (13)
if confusion please comment here
SIR NAHI HO RAHA HAI PLEASE HELP
ek baar bataye steps ko sahi se follow kijiye
Very Nice... Post Sir Ji
thanks mahaveer ji
very nice h g muge bot acha laga
Thnx
Bhai please help me
Mere blog 'Dainiktricks' par adult sites se traffic aa rha hai. Main kya karu ? Kya mere blog ke liye ye danger ho skta hai ? Un websites ko main kaise block karu?
Isse rokne k kafi tarike hai
Aap host entry file add kar sakte ho
Open dns fultering use kar sakte ho
Dns record karne iss tarh ke traffic block kar sakte ho
Bhai please details btaye mere blogger blog hai.
Ager aapne koi post likhi hai to please uska link send kar do.
Bhai main bahut jyada preshan ho gya hu ish se, 2 dino me meri 10% traffic kam ho gyi hai.
ek baat ka dhyan rakhe ki aapki site par adult contents nahi hone chahiye, ye koi matter nahi karta ki traffic kaha se aa raha, fir bhi adult site se apni backlinks ko remove kar dijiye. kuch time ke baad ye apne aap thik ho jayega.
Bahut hi achi jankari share kari hai apne
bhut acchi jankari share kiya hai aapne
click me