X
    Categories: TWITTER

Twitter Password Change or Reset Kaise Kare – Change or Reset Twitter Password

Twitter password change or reset kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, to agar aap apne android mobile phone me twitter app ka use karte hai. Aur usme apne  twitter account ka password change karna chahte hai to ye post aapke liye hi hai.

Top social sites me ek twitter ek popular messeging site hai jiska use jyadatar celebrities, politicians, cricketers ya fir high profile log karte hai. Lekin ab iske mobile version app aane ke baad sabhi category ke log iska use karte hai.

Agar aap bhi apne android smart phone me twitter application ka use karte hai aur ab apna password ko reset or change karna chahte hai to niche diye steps ko follow kare.

Twitter Password Change or Reset Kaise Kare – Change or Reset Twitter Password

1 Sabse pehle Twitter app open kare aur apne profile icon par click kare.

2 Ab kuch option aayenge to yahapar Settings and privacy par click kare.

3 Next interface me Account option par click kare.

4 Ab iske baad jo next page open hoga isme Password ke option par click kare.

5 Ab aapse password enter karne ke liye kaha jayega, lekin aapko password to yaad nahi hoga isliye yahapar Forgotten your password ke option par click kare.

6 Next interface me aapko apni Email id, phone number or Username me se kisi ek ko enter karna hai aur Search ke button par click karna hai.

7 Ab jo next page open hoga isme aapse Phone ya email kisi ek option ko select karna hai jispar aapko apna code bheja jayega. Select karne ke baad Continue ke button par click kare.

8 Agar aapne phone select kiya hai to aapko messege me code milega aur agar aapne email option ko select kiya hai to aapke email id par ek code aayega. Aapko apni email inbox open karke uss mail ko open karna hai aur isme Reset password ke button par click karna hai.

9 Ab next interface me aapke samne passwod reset karne ka option aayega. Yahapar Type your new password me password enter kar aur Type your new password one more time ke option me dubara se same password enter kare.

10 Agar aapko apne mobile pass password save karna hai to Remember me ke check box par tick kare aur Submit ke button par click kar dijiye.

11 Next interface me aapke samne password change karne ke kuch reasons aayenge to yahapar aapko Forgot password ke select karna hai aur finally Submit ke button par click kar dena hai.

Submit button par click karte hi aapka twitter password change ho jayega, iss tarah se easily apne twitter account ka password reset kar sakte hai.

I hope ab aap samajh hi gaye honge ki twitter password change or reset kaise karte hai, agar aapko jankari helpful lage to isse social sites par share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More