X
    Categories: ANDROID

Phone Ka Privacy Password Reset Kaise Kare

Phone ka privacy password reset kaise kare iss post me hum janenge so agar aapne apne android smartphone me privacy password add kiya hai aur ab apne privacy password ko bhul gaye hai to iss ss post me jo trick me aapko batane wala hu uske through aap easily apne android mobile ke privacy password ko recover kar sakte hai.

Apne phone me privacy password add karke aap apni personal data ko private rakh sakte hai lekin kai baar users apna privacy password bhul jate hai jiski vajah se vo apne personal data ko access nahi kar pate aur privacy password ko dekhne ka koi option bhi unhe nahi milta, aise me ye trick unn sabhi users ke bahut kaam aa sakti hai isliye agar aapko bhi apna privacy lock ko unlock karna hai to niche bataye easy steps ko follow kare.

Phone Ka Privacy Password Reset Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Phone ki settings open kare.

2 Iske baad Privacy option par click kare.

3 Ab privacy protection section me diye kisi bhi privacy method par click kare, for example App lock option par click kare.

4 Iske baad next interface me privacy password enter karne ka option aayega magar kyuki privacy password bhul gaye hai to yahapar kuch bhi Wrong password enter kare.

5 Galat password enter karne par Forgot password option aayega to ispar click kare.

6 Ab aapke samne 2 options aayenge to inme,

  • Reset from security questions option par click kare aur isse pehle privacy password set karte time jo security questions or answers aapne set kiye tha uss question ko select karke uska answer enter kare.
  • Reset through recovery email option par click kare agar sequrity question set nahi kiya ya bhul gaye hai.

7 Reset through recovery email option par click karte hi email enter karne ka option aayega to yahapar apni Recovery email enter karke Check mark option par click kare.

8 Iske baad ek popup open hoga to isme apni recovery email par aaya hua Verification code enter karke Reset password option par click kare.

9 Ab next interface me New privacy password enter karke verify kare.

10 New password set karne ke baad next interface me New password enter karke unlock kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapka new privacy password set ho gaya hai, iss tarah se aap easily apne forgotten privacy password ko wapas reset kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki phone me apne privacy lock ko unlock kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)