MAKE MONEY

Top Trusted Online Earning Sites Se Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye

Top trusted online earning sites kaun kaunsi hai aur in sites se paise kaise kamaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. So friends agar aap ghar baithe ya part time me online earnings ke bare soch rahe hai to iss post ko dhyan se padhe. Aur jane un top trusted online earning sites ke bare me jinke through aap ghar baithe income kar sakte hai.

Life me paise sabhi kamana chahte hai aur iss vajah se kai job karte hai aur kai business se earning karte hai. Vahi aise logo ki kami nahi hai jo apne free time me extra income karna chahte hai. Jiske liye unhe part time jobs ki jarurat hoti hai aur aksar vo internet par ghar baithe paise kamane ke tariko ko search karte rehte hai.

Aajkal mostly logo me online earning ke through ghar baithe paise kamana ek trend ban chuka hai. Kyuki ye sabse easy tarika hai ghar baithe kabhi bhi kahi se bhi freely paise kamane ka. Lekin ghar baithe easy money kamane ke liye trusted online earning sites search karna ek difficult work hai, jisme log sabse jyada fail hote hai.

Alag alag skill ke according internet par aap part time work karke online earning kar sakte hai. Agar aap internet par search karenge to aapko bahut si aisi make money websites mil jayengi jo aapko online revenue generate karne ki opportunities provide karti hai.

Online Earning Sites Se Paise Kamane Ke Liye Kya Chahiye

Agar aapko online part time job se earning karni hai to iski kuch requirements hai jo aapke paas hona chahiye. Aur aajka mostly logo ke paas ye sabhi cheeze available hoti bhi hai. To kya kya requirements hai ghar baithe online paise kamane ke liye chaliye janate hai.

Computer or Laptop  Agar aapko in top trusted online earning sites ke through easily ek accha revenue generate karna hai to computer ya laptop aapke paas jarur hona chahiye. Aur agar aap mobile par aisa karne ke bare me soch rahe hai to inn sites se good aur easy money earn karne ke liye aapko kaafi hard work karna hoga.

Online Payment Method Agar aap apne computer ya laptop par online job kar rahe hai to definitely uss kaam ke badle payment bhi aapko online hi hogi. Aisa bahut kam hi hota hai ki koi online employer aapko physically payment kare. Lekin agar aap outside of india ki sites par work karte hai to iske liye aapke paas online payment method hona behad jaruri hai.

Aur online payment methods ke liye bahut sites hai jinpar aap signup karke apna account create kar sakte hai. Aur apni online income ko uss payment method se receive kar sakte hai. Online payment methods me Paypal account, Payoneer aur Payza jaisi sites aati hai, to inn sites par account jarur create kar lijiye.

Internet Connection  Make money online ke liye aapke paas internet connection ya data pack hona chahiye. Kyuki bina internet connection ke net se paisa earn karna possible nahi hai.

GMail Account  Online job karne ke liye aapke paas email account hona jaruri hai, aap other email service ka use kar sakte hai but gmail account sabse better hai.

Thodi English/Hindi Knowledge  Internet se fast money earn karne ke liye aapko hindi ke sath sath thodi bahut english language ki knowledge bhi hona chahiye. Vaise bahut se log other language me bhi blog ya youtube se acchi khasi earning kar rahe hai.

Aapki Khud Ki Jankari  Aisa nahi hai ki aap ek professional ya fir ek expert person hai tabhi aap internet se online income generate kar sakte hai. Balki agar aapko internet or computer ki thodi bahut basic knowlege hai to bhi aap online sites se paise kama sakte hai. Iske liye bus aapko pehle to apni knowledge ko badhana hai aur internet par apna thoda bahut time dekar kuch na kuch sikhte rehna hai. Agar aapke pass inn basic knowlegge ki kami hogi to yanase aap earning karne me fail bhi ho sakte hai.

Top Trusted Online Earning Sites Se Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye

Agar aap internet se online earning yani ki ghar baithe paise kamane ke bare me soch rahe hai to aapko iss baat ka bhi dhyan rakhna hai ki vo online earning sites genuine hai ya nahi. Matlab ki internet par aapko bahut se scammers mil jayenge to aisi fraud actiity se aapko kafi careful rehna hoga.

Isliye iss post me mein aapko mein aapko top trusted online earning sites ke bare me bata raha hu. Jo ki bilkul genuine aur best online earning sites hai jinka use aap bina kisi problem ke easily kar sakte hai. To chaliye start karte hai aur janate hai ki vo to trusted online earning sites kaunsi hai jinse help se aap ghar baithe part time paise kama sakte hai.

#1 Blogging (Blogger/Wordpress)

Agar aapko computer ki basic knowlege hai aur typing speed thik thak hai. To aap Blogger platform ya WordPress par apna free blog banakar usme article post karke online earning kar sakte hai.

Blog par quality post publish karne ke baad aap iss paise kamane ke liye google adsense ke liye apply kar sakte hai. Aur ek baar aapka adsense account approved ho jaye to fir aap adsense ads  blog post me laga kar online earning kar sakte hai.

#2 Youtube

Agar aapko video banane ka shauk hai to aap youtube par video upload karke bhi acchi khasi earning kar sakte hai. Youtube se earning karne ke liye aapko sabse pehle youtube par channel create karna hoga. Aur uspar daily ek se do video upload karne honge.

#3 Affiliate Marketing

Internet par search karenge to aapko bahut si badi aur trusted affiliate marketing companies mil jayengi. Jo affiliate programs run karti hai. Aap kisi bhi popular company ke sath judkar affiliate marketing kar sakte hai. Aapko sirf online affiliate company me apna account create karna hai. Iske baad uss company ke products ko dusre logo ko promote karna hai.

Promote karne ke liye aap social networking sites jaise facebook, twitter, google+ etc ka use kar sakte ho. Agar aap blogging karte hai to aap apne blog par affiliate marketing kar sakte hai. Aur affiliate marketing program se products share karke acchi income generate kar sakte hai. Top affiliate programs ki baat kare to inme sabse upar Amazon associates, eBay partners aur Shopify affiliate program ke name aate hai.

#4 Freelancer

Freelancer site se bhi aap online earning kar sakte hai. Iss site par aapko apne interest ke according koi bhi job mil sakta hai. Iske liye aapko freelancer site par apna profile create karna hoga. Jisme aapko apna skill enter karna hai ki aap kya kya kar sakte ho. Iske baad aapko online work karne ke liye offer aane shuru ho jayenge. Jiske baad aap apne interest ke according kaam choose kar sakte ho. Aur ek online achi earning kar sakte ho.

#5 NeoBux

Part time extra income karne ke liye Neobux ek easiest way hai. Neubux par aapko advertisers ki websites ko browse karna hai. Aap website par visit karenge aur neobux aapko iske liye paise degi. Payment aap paypal, payza aur netteller ke through le sakte hai.

#6 Readbud

Readbud ek aisi online service hai jaha se aap articles padhkar part time extra income kar sakte ho. Iss site par aap apne interest ke according articles choose karke read kar sakte ho. Isse aapki knowledge hi gain nahi hogi bulki aap part time extra income bhi kar sakte hai.

#7 Twitter

Twitter ka use har tarah ka vyakti karta hai, chahte aam ho ya khaas. Iss platform ka use lagbhag har field se jude huye log karte hai. Koi film star ho ya politician sabhi apne hisab se twitter ka istemal karte hai. Jaise ki politicians apni political campaigning ke liye aur film celebrities apni film ki promtoin ke liye twitter ka use karte hai.

Yahi nahi bade bade business man bhi twitter par apne products ko promote karte hai. Agar aapke twitter par acche khase followers hai to aap twitter se paise kama sakte ho. Twitter se aap do tariko se paise kama sakte hai. Pehla tarika hai sponsored tweet aur dusra tarika contest on twiter hai.

#8 ClixSense

Without any investment Clixsense ek better site hai jahapar aap easily online earnings kar sakte hai. Iss site par aap alag alag tarah ke task pura karke daily $10 tak earn kar sakte hai. Clixsense se paise kamane ke liye kai tarah ke task available hai jaise ki koi survey complete karna, game play karke ya fir dusro ko reffer link share karna etc.

Clixsense se earning karne ke liye sabse pehle aapko iski site par jakar signup process ko complete karna hai. Iske baad aapko first of all apne profile survey ko complete karna hai. Issi ke base par aapki eligibility check hoti hai aur aapko other survey jobs offer kiye jate hai. Iske baad aap offer tab ya fir find the task aur game option se bhi accha revenue generate kar sakte ho.

#9 Earning from Android Apps

Agar aap android mobile phone ka use karte hai to google play store se earning app download karke aap online earning kar sakte hai. Google play store par aapko bahut si aisi applications mil jayenge jo online make money offer karti hai. Bus aapko best earning apps find karna hai aur usse apne mobile phone me install kar dena hai.

Earning app download aur install karne ke baad aapko instruction ke according task complet karna hai. Bahut si earning app referral programs chalati hai. Ya task process ko complete karke, gaming ya quizing ke through aap in earning apps se acche khase paise kama sakte hai.

 

So ye thi kuch top trusted online earning sites jinke through aap ghar baithe paise kama sakte hai. Inke alawa bhi bahut si sites hai jahapar aap thoda sa smartwork karke apne part time me extra income generate kar sakte hai. But unke bare me mein aapko next post me bataunga.

So friends agar aapko online earnings sites se related ye jankari helpful lagi hai to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare. Aur agar iss post se related aapke koi sawal ya sujhav hai to aap niche comment box me jarur puche.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Top Trusted Online Earning Sites Se Ghar Baithe Paise Kaise Kamaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.