Tiktok par profile video kaise lagaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap tiktok profile photo ki jagah par profile video add karna chahte hai to iss trick se easily kar sakte hai.
Tiktok account me apni profile photo ko jagah par apni profile video lagakar aap apne tiktok profile ko aur bhi jyada attractive bana sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki aap kis tarah se apne tiktok acount me profile video add kar sakte hai.
Tiktok Par Profile Video Kaise Lagaye – How to Add Profile Video on Tiktok
1 Sabse pehle apne mobile phone me Tiktok open kare.
2 Ab bottom right side me apne profile icon par click kare.
3 Iske baad aap apne tiktok profile me pahuch jaoge to yahapar Edit profile par click kare.
4 Next interface me top side me aapke samne 2 options aayenge profile photo aur profile video to yahapar profile video par click kare.
5 Ab aapki mobile gallery open ho jayegi to yaha se apni koi bhi video select kare, jisse tiktok profile video me add karna hai.
6 Next interface me trim and crop ka option aayega to yahapar video layer me se 6 seconds tak ki video video select kare. Isse badi video aap tiktok profile video me add nahi kar sakte hai.
7 Finally top right hand side me Done ke option par click kar dijiye.
Iss tarah se thodi hi der me aapki tiktok profile par video add ho jayegi aur ab jo bhi visitors aapki tiktok profile par visit karega usse profile photo ki jagah par profile video show hogi.
I hope ab aap samajh gaye honge ki tiktop par profile video kaise lagate hai. Agar aapko ye jankari pasand aayi ho to isse social sites par share bhi jarur kare.