X
    Categories: TIKTOK

Tiktok Pro Acount Kya Hai Aur Tiktok Me Pro Account Kaise Banaye

Tiktok pro account kya hai aur tiktok par pro account create kaise karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap tiktok ka use karte hai to tiktok pro account me switch karke aap apne tiktok user experience ko aur bhi better bana sakte hai.

Social media sites me tiktok ek aisa video sharing platform hai jisme log short videos post karte hai. Iss platform ka use lip-sync, comedy aur talent short videos share karne ke liye kiya jata hai. Aur iski popularity day by day badh rahi hai.

Aise me iss platform ka use jyadatar internet users karne lage hai, iske sath hi tiktok bhi apne users ke liye naye naye features update karta rehta hai, jisme tiktok pro account feature bhi kafi kamal ka hai. Tiktok pro account kya hai aur tiktok par pro account kaise banate hai chaliye janate hai.

Tiktok Pro Account Kya Hai

Pro account tiktok ka ek feature hai jiske through aap apne tiktok account ko pro account me switch kar sakte hai. Iss feature ki help se aap apne account me last 7 days or last 28 days ka analytics insights check kar sakte hai.

Iss feature ki help se users apne tiktok account ke video views, follower growth aur apne account par trending videos dekh sakte hai. Iske sath hi aap apne followers ka gender, top countries, location aur unka interest bhi check kar sakte hai.

Tiktok Pro Acount Kya Hai Aur Tiktok Me Pro Account Kaise Banaye

Apne tiktok account par pro feature enale karne ke liye aapko tiktok ko update karna hai jiske baad aapke aapke account par pro account feature enable ho jayega. Iske baad tiktok pro account me switch kaise karte hai chaliye step by step janate hai.

1 Sabse pehle Tiktok app open kare.

2 Bottom right side me apne profile icon par click kare.

3 Ab top right side me 3 dots par click kare.

4 Next interface me manage my account option par click kare.

5 Ab bottom side me switch to pro account ke option par click kare.

6 Next interface me continue button par click kare.

7 Ab agle page me kuch categories aayengi inme se apne account se related category select karke bottom side me next button par click kare.

8 Next interface me apna gender select kar done button par click kare.

9 Ab welcome to your pro account ka ek popup open hoga isme ok par click kar dijiye.

Lijiye aapka tiktok pro account create ho gaya hai iske baad tiktok ki privacy and settings page me analytics ka ek aur feature add ho jayega. Ispar click karke aap apne tiktok account ki analytics report check kar sakte hai.

Yahapar aapko 3 tab show honge overview, content aur followers ke to inme aap apne account par video views, followers, profile views, trending videos, followers gender, top locations, followers activity aur unke interest ko check kar sakte hai.

Iske sath aap apne kisi video ko open karke share ke 3 dots par click karenge to yahapar aapko analytics ka option show hoga, iss option par click karke aap perticular apne kisi bhi video ka analytics check kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki tiktok pro account kya hai aur tiktok par pro account kaise banate hai. Agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More