TELEGRAM

3 Telegram Chat Secret Tricks in Hindi – Telegram Tips and Tricks

Aaj ki iss post me mein aapko 3 Telegram chat secret tricks batane ja raha hu, agar aap telegram user hai aur telegram app par apne friends ke sath chatting karte hai to ye telegram chat ki secret tricks ke bare me aapko jarur pata hona chahiye.

Telegram ek freeware, cloud based instant messaging platform hai jiska use aap mobile app aur computer ya laptop me bhi kar sakte hai. Telegram chat ko aap multiple devices me access kar sakte hai, aur iske alawa telegram chats me aapko kya kya secret functions milte hai chaliye iss post me janate hai.

3 Telegram Chat Secret Tricks in Hindi – Telegram Tips and Tricks hum nahi batayenge

#1 Schedule Message

Telegram par aap apne kisi bhi friend ko schedule message bhej sakte hai, for example aapke kisi friend ka birthday aane wala hai ya aap apne kisi friend ko aane wale kuch dino ke baad koi particular message bhejna chahte hai, aur aapko lagta hai ki shayad aapko on time par message karna bhul sakte hai to iss trick ko follow kare.

1 Sabse pehle Telegram open karke apne friend ki chat open kare aur jo message schedule karna hai usse type kare.

2 Iske baad Send button par long press kare.

3 Ab do options aayenge to inme Schedule message option par click kare.

4 Ab next interface me Date aur Time set kare.

5 Finally Send on button par click kar dijiye.

#2 Send Without Sound

Agar aap normally apne friend ko koi message send karte hai uska notification aapke friend ko mil jayega jiss vo open karke aapke message ko padh sakta hai. Lekin agar aap without notification koi message bhejna chahte hai to iss trick ko follow kare.

1 Sabse pehle apne friend ki chat open kare aur koi message type kare.

2 Iske baad Send button par long press kare.

3 Ab do options aayenge to inme se Send without sound option par click kar dijiye.

#3 Delete Chat Both Side

Agar aap apne kisi friend ki chat ko both side se delete karna chahte hai to vo bhi aap easily kar sakte hai, yani ki jo bhi message aapne apne friend ko bheje hai ya aapke friend ne aapko bheje hai unhe aap apne telegram account aur apne friend ke telegram account ki chat se remove kar sakte hai, iske liye niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle apne friend ki chat open kare.

2 Ab jo Send aur Receive message delete karne hai unhe long press karke select kare.

3 Iske baad top right corner me Delete icon par click kare.

4 Ab ek popup open hoga to isme Also delete for your friend name ke check box me tick kare aur Delete option par click kar dijiye.

I hope, aapko ye sabhi telegram chat secret tricks pasand aayi hogi, agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.