X
    Categories: TELEGRAM

Telegram Account Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

Telegram account hack hai ya nahi kaise pata kare iss post me mein aapko bataunga, agar aap telegram user hai aur aapko doubt hai ki kahi aapka telegram account hacked to nahi hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow karke aap iska pata laga sakte hai.

Agar aapke telegram account ko kisi hacker ne hack kar liya hai to vo aapki har ek telegram activity dekh sakta hai, aap kab, kis user se kya interaction karte hai, kaun kaun si aapki personal chats hai ye sabhi hacker ko pata chalta rahega aur aapko iski koi khabar nahi hogi.

Aise me aapke liye ye pata lagana jaruri ho jata hai ki kahi aapka telegram account hack to nahi hai, aur agar hacked hai to kaise hacker ka access apne telegram account se remove karna hai ye bhi aapko pata jarur hona chahiye, chaliye shuru karte hai aur janate hai telegram hack hai ya nahi kaise pata karte hai.

Telegram Account Hack Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

1 Sabse pehle Telegram app open kare.

2 Ab top right corner me 3 lines par click kare.

3 Iske baad kuch option aayenge to yahapar Settings option par click kare.

4 Ab settings page me Devices option par click kare.

5 Iske baad next interface me aapke telegram account ki sabhi login activity show ho jayegi.

  • Yahapar top side me aapke device ki detail show hogi jaise ki device name, IP address or OS etc.
  • Aapke device ke just niche agar aapko koi unknown device show hota hai to iska matlab hai ki aapka telegram account hacked hai.
  • Aise me hacker ka access remove karne ke liye uss unknown device option par click kare.
  • Iske baad ek popup open hoga to isme Terminate option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapka telegram account safe hai aur hacker ka access aapke telegram account se remove ho gaya hai.

Iske baad aapko apne telegram account ki security ko aur bhi jyada strong banane ke liye passcode lock aur two step verification dono hi features ko enable kar dijiye.

I hope, telegram account hacked hai ya nahi kaise check karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More