TELEGRAM

Telegram Archived Chat Unarchive Kaise Kare – Unhide Archived Chats in Telegram

Telegram archived chat unarchive kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap telegram user hai aur apne kisi friend ki chat archive kar chuke hai aur ab wapas unarchive karna chahte hai aur nahi janate ki kaise karte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.

Telegram par jitna aasaan kisi chat ko archive karna hai utna hi easy archived chat ko unarchive karna bhi hai, lekin mostly users iske bare me nahi janate hai so agar aap bhi nahi janate ki telegram hidden chats ko unhide kaise karte hai to niche bataye steps follow kare.

Telegram Archived Chat Unarchive Kaise Kare – Unhide Archived Chats in Telegram

Jaise ki aap janate hi honge ki agar telegram par kisi chat ko archive karna ho to uss chat par long press karna hota hai jiske baad top side se kuch options hightlight ho jate hai.

Aur inn options me se Archive icon par click karke kisi bhi chat ko archived list me add kar sakte hai, ab agar archived chat ko unarchive karna hai to iske liye niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle Telegram app open kare.

2 Ab aapke samne chat list open ho jayegi to yahapar chat list screen me niche ki taraf swipe kare.

3 Iske baad top side se Archived chats option unhide ho jayega to ispar click kare.

4 Ab aapke samne unn sabhi users ki list aa jayegi jinki chat ko aapne archived kiya hai, yahapar jiss friend ki chat unhide karna hai uske username par long press kare.

5 Iske baad fir se top side se kuch options hightlight ho jayenge to yahapar top right corner me 3 vertical dots par click kare.

6 Ab kuch options aayenge to inme Unarchive option par click kar dijiye.

Iss tarah se aap easily kisi bhi archived chat ko unarchive kar sakte hai, aur wapas apne friend ki hidden chat ko apni telegram chat list me add kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki telegram par hidden chats ko unhide kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi hai to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.