Telegram account delete or remove kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap telegram user hai aur apne telegram account ko delete karna chahte hai to iss post me bataye gaye steps ko follow kare.
Telegram par account create karna bahut hi aasaan hai lekin iss platform par account instantly delete karne ka koi option nahi hai, yani ki aap turant apne account ko delete nahi kar sakte hai.
Aise me agar aapke telegram par multiple accounts hai aur kisi ek account ko aap delete karna chahte hai to aapko kuch time ka wait karna padega uske baad hi account automatically remove hota hai.
Lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu uske through aap instantly apne telegram account ko delete kar sakte hai, puri jankari ke liye ye post padhe.
- Instagram Followers or Following List Hide Kaise Kare
- Messenger Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
Telegram Account Delete Kaise Kare – How to Remove Telegram Account Permanently
Telegram account ko delete karne ke 2 methods mein aapko bataunga, aap inn dono tariko ka use karke apne telegram account ko delete kar sakte hai lekin 1st method me aapko thoda wait karna hoga aur 2nd method me turant aapka account delete ho jayega. Isliye aap apne according koi bhi tarika use kar sakte hai account delete karne ke liye.
Method 1
1 Sabse pehle Telegram account open kare aur top left corner me 3 lines par click kare.
2 Iske baad jo options aayenge inme Settings par click kare.
3 Settings page me aapko Privacy and security option par click karna hai.
4 Ab jo next interface open hoga isme Delete my account option par click kare.
5 Iske baad ek popup open hoga isme 1 month ko select kare.
6 Ab back button press kare aur top right corner me 3 dots par click karke Logout kar lijiye.
Logout karne ke baad aapko 1 month ke period me dubara apne telegram account ko open nahi karna hai, agar aap iss beech login kar lenge to aapka account delete nahi hoga. Aur agar aap login nahi karte hai to ek mahine ke baad aapka telegram account automatically remove ho jayega.
Method 2
1 Sabse pehle https://my.telegram.org/auth ke iss link par click kare.
2 Ab jo page open hoga isme Your phone number ki field me country code ke sath apna phone number enter kare aur Next button par click kare.
3 Iske baad aapke samne confirmation code enter karne ka option aayega aur sath hi aapke telegram account par ek code bhi bheja jayega.
4 Aapko code copy karna hai aur Confirmation code ki field me paste kar karke bottom side me Sign in ke button par click karna hai.
5 Ab jo next interface open hga isme aapko Delete account option par click karna hai.
6 Iske baad next page me Why are you leaving? ki field me aapko koi reason type karna hai. Aap koi bhi reason likh sakte hai.
7 Reason enter karne ke baad Delete my account button par click kijiye.
8 Ab ek popup window open hogi to isme aapko Yes delete my account button par click kar dena hai.
Click karte hi aapka telegram account turan delete ho jayega, iss tarah se aap easily apne account ko kuch hi minutes me remove kar sakte hai.
I hope aapko telegram account remove karne ki ye jankari helpful lagi hogi, agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
View Comments (2)
useful information
Aryan Boy(how to delete telegram account permanently)
The information you provide is very important to us. you solve the problem very well.