INSTAGRAM

Instagram Post Archive or UnArchive Kaise Kare – Hide or Unhide Instagram Posts

Instagram post archive or unarchive kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap instagram par regular apni posts ko share karte hai to aapko pata hi hoga ki vo sabhi post aapke provile me save hoti hai.

Aise me agar aap apne instagram profile se apni posts ko archive or hide karna chahte hai to iske liye aapko simply iss post me bataye gaye steps ko follow karna hai, yahi nahi archived post ko unarchive kaise karte hai aap iss post me sikh jayenge to chaliye shuru karte hai.

Instagram Post Archive or UnArchive Kaise Kare – Hide or Unhide Instagram Posts

Instagra Post Archive Kaise Kare

1 Sabse pehle apni Instagram app open kare.

2 Ab bottom right corner me apne profile icon me click kare.

3 Iske baad aapke samne aapki sabhi instagram posts aa jayengi to jiss post ko archive karna hai vo Post Select kare.

4 Ab apni post ke top right corner me 3 vertical dots par click kare.

5 Iske baad kuch options aayenge to inme se Archive option par click kare.

Archive option par click karte hi aapki post archive ho jayegi aur aapke instagram profile se hide ho jayegi, iske baad koi bhi user aapka instagram profile open karke uss post, photo ya video ko nahi dekh payega jisse aapne archive kiya hai.

Instagra Post Un-Archive Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Instagram account ko open kare.

2 Bottom right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab top right corner me 3 lines par click kare.

4 Iske baad kuch options aayenge to yahapar Archive option par click kare.

5 Ab aapke samne sabhi archived posts aa jayenge to jisko unarchive karna hai usse Select kare.

6 Iske baad post ke top right corner me 3 vertical dots par click kare.

7 Ab do options aayenge to inme se Show on profile option par click kar dijiye.

To iss tarah se aapko archived post wapas unarchive ho jayegi, iss tarah se aap one by one karke apni jitni bhi posts ko archive se unarchive kar sakte hai, jiske baad aapki post unhide ho jayegi aur aapke profile me fir se show hone lag jayegi.

I hope, instagram post archive or unarchive kaise karte hai ab aap samajh gaye honge agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.