SKYPE

Skype Par Block Ko Unblock Kaise Kare

Skype par block ko unblock kaise kare iss post me hum janenge agar aap microsoft ki skype app ka use karte hai to iss post me aap blocked users ko unblock karne ke bare sikh jayenge agar aap kisi skype user ko block kar chuke hai aur usse wapas unblock karne ke bare me nahi jante hai.

Skype par aap apne friends, colleague or classmates ke sath communication kar sakte hai, files ek dusre ke sath share kar sakte hai aur instant messaging ke sath sath voice ya fir video calls kar sakte hai, iske alawa skype par aap kisi bhi user ko easily block or unblock bhi kar sakte hai.

Agar aapko skype me kisi user ko block karna hai to simply aapko uss user ke contant name par click karke profile open karna hai aur profile page me aap bottom side me block contact option par click karke uss user ko block kar sakte hai.

Ab agar aapko kisi vajah se blocked contact ko wapas unblock karna hai aur nahi janate ki skype par blocked user ko unblock kaise karte hai to iss post me bataye easily steps ko follow karke aap easily apne blocked contacts ko unblock kar sakte hai to chaliye step by step janate hai.

Skype Par Block Ko Unblock Kaise Kare

1 Sabse pehle Skype app open kare.

2 Iske baad top side me apne Profile icon par click kare.

3 Ab profile page me Settings option par click kare.

4 Iske baad settings page me Contacts option par click kare.

5 Iske baad next interface me Blocked contacts option par click kare.

6 Ab next interface me sabhi blocked contacts show ho jayenge to inme se jiss contact ko unblock karna hai uske profile name ke samne Unblock option par click kar dijiye.

Iss tarah se aap unn sabhi contacts ko unblock kar sakte hai jinhe aapne skype pe block kiya hoga, i hope aapko ye jankari helpful lagi hogi, agar post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.