SEO

Seo Friendly Blog Post Kaise Likhe

SEO friendly blog post kaise likhe iss post me mein aapko batane wala hu to agar aap ek blogger hai aur apni blog post me search engine optimization karna chahte hai to aaj ki ye post aapke kafi useful ho sakti hai.

Agar aap apne blog par jyada se jyada organic traffic increase karna chahte hai to iske liye aapko apne blog kas search engine optimzation (SEO) sahi se karna hoga, iske sath hi sabse important hai aapke blog par SEO friendly blog post publish hona chahiye.

Agar aap apne blog post ka SEO tips ko sahi se follow karte hai to aapki post search engines me top me rank hogi, aur jyada se jyada traffic increase hoga, isliye blog post publish karne se pehle aapko uska SEO sahi prakar se karna chahiye.

Seo Friendly Blog Post Kaise Likhe

Blog post par search engine optimization impliment karne ke liye jo important tips hai uske bare me mein aapko bata raha hu, agar aap inko sahi se follow karte hai to aapke post ki search rank increase hogi aur high quality traffic generate hoga.

Keyword Research

Isse pehle ki aap Blog post likhna start kare usse pahle aapko keywords research karna hai, yani ki jiss topic se related aapki blog post hai uss topic ko ke keyword ko search karna hai jo jinki search rank acchi ho.

Keywords research ke liye aap alag alag tools aapko mil jayenge, aap free keywords search karne ke liye google keywords tools yani google keyword planner ka use kar sakte hai aur apni post se related keywords aur focus keywords search karke apni post me use kar sakte hai.

Aapki post ka jo bhi title hai jis bhi topic par aapki blog post hai usme focus keyword jarur add hona chahiye, jaise ki iss article ka focus keyword aapk dekh sakte hai “SEO friendly blog post” hai, issi tarah se aapko bhi apni post par 4 se 5 related keywords ke sath sath focus keywords ko use karna hai.

Post Title

Post title kisi bhi post ke liye sabse jyada important hota hai aur post title me aapko apna focus keyword jarur add karna hai, isse aapki post top search rank me aa sakti hai iske sath hi aapko title me 7 se 10 words tak enter karne hai. Agar aap hindi blogger hai aur hindi me post likhte hai to focus keyword ko english words me hi enter kare.

Post Permalink (URL)

Post permalink yani ki aapki post ka URL short hona chahiye aur permalink me focus keyword keyword ka use jarur kare. For example aap iss post ka title aur URL dekh sakte hai dono me hi focus keyword “SEO friendly blog post” add hai

Blog Post

Aap jo bhi blog post create kar rahe hai jis bhi topic par post likh rahe hai usme kam se kam 300 words hone chahiye, isse jyada words ki post aap likh sakte hai lekin agar aap koi tips and trick ki post likh rahe hai to 300 words tak sufficient hai.

Apni blog post ke first paragraph me focus keyword ka use jarur kare, aur jo baki jo related keywords hai unhe apni puri post me 4 se 5 bar use kar sakte hai, lekin jo aapka focus keyword hai usse agar agar aapki post me 300 words hai to sirf 2 bar hi use kar sakte hai.

Yani ki title, tag aur meta description ke alawa aap focus keyword ko post me 2 bar hi add kare agar aap post par search engine optimization (SEO) karna chahte hai.

Blog post me kam se kam ek heading (H1) jarur add kare, aur agar aapki post 300 words se jyada badi hai to usme second heading (H2) add kare. Yani ki every 300 words ke liye aap ek heading ka use kare agar post 300 words se jyada badi hai. Vaise aap 300 words me 2 ya 3 heading apni post ke according add kar sakte hai.

Heading

Blog post me alag alag headings add kar sakte hai aur ho sake to jo bhi heading aap add kar rahe hai usme focus keyword ka use jarur kare.

Iske sath hi heading ko bold bhi jaru kare aur alag alag colours ka use bhi aap post ki headings me kar sakte hai.

Outbound Links

Blog post me kam se kam ek outbound link add jarur kare, for example aap google se related post likh rahe hai to apni post me google ko link jarur kare aur related google URL jarur enter jarur kare.

Internal Links

Outbound links ke sath hi aapko internal links bhi add karne hai, internal link yani ki apni hi dusri post ke links bhi aapko apni blog post me add jarur karne hai. Kam se kam 2 se 4 internal links aapko apni har ek post me enter karne hai jinpar visitors click karenge to aapka traffic bhi increase hoga.

Meta Description

Blog post ki search rank ko increase karne me sabse important roll meta description ka hota hai, aur jabhi bhi user aapki post se related keywords search engines me search karte hai aur aapki post search result me aati hai to post title ke sath meta description bhi show hota hai.

Yani ki blog post SEO ke liye meta description ka hona bahot jaruri hai isse aapki post top searches me aa sakti hai, isliye apni blog post me meta kam se kam 20 words ka meta descrition jarur add kare. Aur meta description me fucos keywords jarur add hona chahiye.

Meta Tags

Jitna jaruri meta descption hai utna hi jarur meta tags bhi hai isliye apni post me kam se 4 se 5 meta tags jarur add kare. Meta tags add karke aap apni post ko top search me la sakte hai aur apni post se related jo bhi keywords aapne search kiye hai unhe meta tags me jarur add kare.

Featured Image

Post ka jo thumbnail hota hai usse featured image bhi kaha jata hai jo aapko blog post ko represent karti hai. Jitna jyada attractive aapki post ka thumbnail hoga uspar click karke aapki post utni jyada baar log padhenge.

Isliye aapko apni har ek blog post me ek attractive aur post se related featured image jarur add karni chahiye aur jo aapki post ka title hai uss name se pehle aapko featured image save karni hai uske baad featured image add karte time usme post se related alternate tag bhi jarur add karna hai.

Upar diye gaye sabhi major SEO tips hai jinko agar aap apni blog post me use karte hai to aap SEO friendly blog post create kar sakte hai aur usse publish karke jyada se jyada high quality traffic apni site par generage kar sakte hai.

I hope, SEO friendly post kaise create karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse social sites par apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.