X

Schedule Blog Post Kaise Kare Or Automatically Post Publish Kaise Kare

Agar aapka blog hai to blog par daily post karna kitna important hai ye aap acchi tarah se janate honge. Daily blog post publish karne se aapki site ki seo ranking badhti hai aur blog visitors bhi increase hote hai. Blogger blog par new post publish kaise karte hai aur blog banane ke baad kya kare. Ye to hum pichli post me jaan hi gaye hai aur aaj mein aapko bataunga ki schedule blog post kaise karte hai. Ya blog post ko automatically publish kaise kiya jata hai.

Agar aapka blog post publish karne ka time fix nahi hai to isse aapke blog ko loss ho sakta hai. Jaise aapki site ranking kam ho jayegi aur aapke blog par visitors bhi ghat sakte hai. Blogging me kamyabi pana chahte hai to aapko blog schedule karna hoga. Aur apne blog par schedule post karne ki aadat dalni hogi.

Schedule Blog Post Kya Hai Aur Kya Benefit Hai Schedule Post Ke

Blog post schedule me post ko publish karne ke liye kisi ek fix date or time ko set karte hai. Aur jo time or date aap set karte hai, thik uss perticular time par post automatic publish ho jati hai. Schedule post karne ke liye sabse pehle aapko post ko puri tarah taiyar karna hoga. Blog post taiyar hone ke baad isme schedule time fix kar sakte hai.

Schedule post karne ka sabse bada fayda ye ki aapki post kab publish hogi, iska visitors ko pata hota hai. Search engine me aapki blog rank high hoti hai. Aur kisi din hum kahi bahar hai, aur post ko khud publish nahi kar sakte hai. To aise me aapke set kiye time par post automatecally publish ho jati hai. Isse aapke blog post ko publish karne ka fix time bhi bana rehta hai.

Kis Time Par Schedule Blog Post Kare

Agar aap daily post publish karte hai to ye aapke blog ke liye kafi beneficial hoga. Lekin agar aapke paas time nahi hai to kisi routine period me bhi post ko publish kar sakte hai. Aur jo routine aap set karte hai usse banaye rakkhe, forexample har 2 din, 3 din ya har week me ek post publish jarur kare. Aur jaha tak time ki baat hai to post publish karne ka sabse accha time sham 6-9 ke beech me hota hai. Vaise aap google analytics me apne blog ka traffic status check kar sakte hai. Aur pata kar sakte hai aapke blog par kis time par sabse jyada traffic aata hai. Ussi ke hisab se post schedule time set kare.

Schedule Blog Post Kaise Kare Or Blog Schedule Kaise Kare

Blog schedule karna bahut hi aasaan hai. WordPress blog aur blogger blog ki post ko schedule kaise karte hai aaiye janate hai.

Blogger Blog Me Post Ko Schedule Kaise Kare

Step 1

Post complete ho jane ke baad, right side bar me schedule par click kare.

 

 

Step 2

Ab schedule calendar open hoga, isme date aur time apne hisab se set karna hai.

  1. Set date and time ke tick box me tick kare.
  2. Post schedule date aur time set kare.
  3. Done ki button par click kare.

 

Step 3

Post schedule date aur time set hone ke baad, ab apni post ko publish kar dijiye. Publish button par click karne ke baad bhi post aapke set kiye huye time par hi publish hogi.

 

WordPress Blog Me Post Schedule Kaise Kare

Step 1

Post complete hone ke baad aur publish karne se pehle, right side me publish immediately option hoga. Isme edit link par click kare.

 

Step 2

Publish immediately edit link par click karne ke baad, post schedule karne ke liye option aayega. Isme apne post ko jis date or time par publish karna chahte hai, usse set kar sakte hai.

  1. Post schedule date aur time set kijiye.
  2. Ok button par click kare.
  3. Schedule button par click kare.

Shedule button par click karte hi, aapki post ka publish time schedule ho jayega. Aur post aapke set kiye date or time par hi automatecally publish ho jayegi.

Issi tarah se aap blogger or wordpress me apni har ek post ko schedule kar sakte hai. ummeed hai aapko ye post helpful lagi hogi. Agar post se related aapka koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar aapko ye article pasand aaya ho to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More