X
    Categories: WHATSAPP

WhatsApp Par Delete Message Kaise Dekhe – Recover Whatsapp Deleted Message

Whatsapp par delete message kaise dekhe iss post me main aapko batane wala hu, agar aapke friends aapko message bhejkar usse delete kar dete hai, ya aapse galati se koi chat delete ho jati hai ya fir clear ho jati hai to aap iss post bataye gaye tarike se whatsapp deleted message ko recover kar sakte hai.

Iske liye pehle aapko playstore se ek application install karni hai jiske baad agar aapko koi friend aapko message send karta hai aur baad me uss message ko remove kar deta hai, to aap usse restore kar sakte hai aur agar agar aap khud kisi message ko remove karte hai to usse bhi aap easily dekh sakte hai.

WhatsApp Par Delete Message Kaise Dekhe – Recover Whatsapp Deleted Message

1 Sabse pehle Playstore open kare aur Notification history log app install kare.

2 Install karne ke baad iss app ko open kare aur bottom side me Continue button par click kare.

3 Next interface me Terms of use and privacy ke check box me tick kare aur bottom side me Agree and continue button par click kare.

4 Ab next page me aapko right ki side swape karte jana hai aur bottom side me Enable permission option par click karna hai.

5 Ab aap apne phone ki Notification access setting me pahuch jayenge to yahapar Notification history log ke samne Toggle button par click kare.

6 Iske baad ek popup open hoga to isme Allow option par click kare.

7 Ab back aaye aur bottom side me Continue button par click kare. 

8 Iske baad ek popup open hoga to isme Enable option par click kare.

9 Iske baad ek aur popup open hoga to isme Allow option par click kar dijiye.

Lijiye aapk kaam ho gaya ab iske baad jab bhi aapko koi friend aapko whatsapp par message bhejkar usse delete bhi kar dega to usse aap easily dekh sakte hai.

Yahi nahi agar aapse bhi galati se koi chat delete ho jati hai ya clear ho jati hai to usse bhi aap notification history log app me easily dekh sakte hai.

Deleted messages ko dekhne ke liye aapko notification history log app ko open karna hai aur Advanced history option par click karna hai, jiske baad aapke samne sabhi deleted messages ya deleted chats show ho jayegi.

I hope, whatsapp par delete message kaise dekhte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More