Telegram Deleted Messages Kaise Dekhe – How to Recover Deleted Telegram Chats
How to recover deleted telegram chats yani ki telegram deleted messages kaise dekhe iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap telegram user hai aur telegram par apne friends ke deleted messages ko recover karna chahte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow jarur kare.
Jaise ki aap janate hi honge ki telegram par aap apne kisi bhi friend ko koi message bhejkar usse both side se delete kar sakte hai issi prakar se aapke friend bhi aapko koi message bhejkar usse both side yani apni aur uss friend ki chats se remove kar sakte hai.
Halanki telegram par aisa koi option nahi hai jiske through aap kisi bhi deleted telegram chat ko wapas recover kar sake lekin yahapar jo trick mein aapko bataunga iski help se aap apne kisi bhi friend ki delete kare huye messages ko wapas dekh sakte hai, iske liye aapko niche diye easy steps ko follow karna hai.
Telegram Deleted Messages Kaise Dekhe – How to Recover Deleted Telegram Chats
1 Sabse pehle Playstore open kare.
2 Iske baad WAMR app ko Install karke open kare.
3 Open karte hi Disclaimer page open hoga to isse Accept kare.
4 Ab next interface me bottom right corner me Aero icon par click kare.
5 Iske baad aapke phone ki sabhi application ki list open hogi to yahapar Telegram ko select karke bottom right corner me Aero icon par click kare.
6 Ab next interface me bottom right corner me Aero icon par click kare.
7 Iske baad jo next interface open hoga isme bhi Right aero icon par click kare.
8 Ab next interface me Media content message aayega to isme bhi Right aero icon par click kare.
9 Iske baad next interface me 2 Permissions Multimedia files aur Notification Reader ko enable karke Right aero icon par click kare.
10 Ab next interface me WAMR ki limitations aayengi to yahapar finally bottom right corner me Aero icon par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya, iske baad ab jab bhi aapka koi friend aapko koi message bhejkar usse delete kar deta hai to aapko WAMR app ko open karna hai jahapar sabhi deleted telegram messages ko aap dekh sakte hai.
Iss tarah se aap easily telegram par apne kisi bhi friend ke deleted messages ko dekh sakte hai, yahapar jo jarur baat hai vo ye hai ki aapko telegram ki notification settings ko enable karke rakhna hai aur apne phone ki automatic download setting ko bhi on karke rekhna hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki telegram ki deleted chats ko kis tarah se aap recover kar sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
आपका हर पोस्ट बहुत ही जानकारी से भरा हुआ हैं। महत्वेपूर्ण जानकारी देने के लिए धन्य।वाद।
Mujhse kl rat me mere ek dost ki chat delete ho gyi thi
To me use wps kese recover kr skta hu