X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Profile Photo Ka Screenshot Liye Jane Se Kaise Bachaye

Facebook profile photo ka screenshot liye jane se kaise bachaye aaj iss post me hum janenge. Facebook par koi bhi unknown user aapki profile picture ka screen shot lekar uska misuse kar sakta hai.

Lekin agar aap iss post me batayi gayi setting ko enable kar dete hai, to koi bhi aapko profile picture ka na to screenshot le payega aur na hi usse download kar payega, puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.

Facebook Profile Photo Ka Screenshot Liye Jane Se Kaise Bachaye

1 Sabse pehle apna Facebook account open kare aur apne profile page me jaye.

2 Ab apni Profile photo par click kare.

3 Click karte hi kuch options aapke samne aayenge to inme aapko Turn on the profile picture guard ke option par click karna hai.

4 Ab jo next interface aapke samne aayega yahapar aapko bottom side me Next ke button par click karna hai.

5 Iske baad jo next page open hoga isme aapki profile picture ka preview show hoga to yahapar aapko Save ke button par click karna hai.

Lijiye iss tarah se aapki profile picture protect ho jayegi aur usme ek shield ka icon bhi lag jayega, ab koi bhi aapki profile picture ko download nahi kar payega aur na hi uska screenshot le sakega.

I hope, facebook profile photo ka screenshot liye jane se kaise bachaye aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare. Aur agar aapke koi sawal ya sujhav ho to aap comment box me puch sakte hai.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)