X
    Categories: INSTAGRAM

Instagram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Instagram Security Setting

Instagram account hack hone se kaise bachaye iss post me mein aapko bataunga, agar aapka instagram par account hai aur apne account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.

Apne instagram account ko more safer aur more secure banane ke liye aapko ek chhoti si setting enable karni hai jiske baad koi bhi hacker aapke insta account ko hack nahi kar payega, chahe usse aapke account ka user id or password hi kyu na pata chal jaye.

Isliye agar aap apne instagram account ki security ko aur bhi jyada strong banana chahte hai, agar aap chahte hai ki aapke account ko koi bhi hack na kar paye to aapko iss setting ko enable jarur karna chahiye aur ye security setting kaise on karte hai chaliye step by step janate hai.

Instagram Account Hack Hone Se Kaise Bachaye – Instagram Security Setting

1Sabse pehle apna Instagram app open kare.

2 Ab bottom right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.

4 Ab bottom side me Settings option par click kare.

5 Iske baad Security option par click kare.

6 Ab next interface me Two factor authentication option par click kare.

7 Iske baad next interface me bottom side me Get started option par click kare.

8 Ab next interface me 2 option aayenge to isme Text message option ko enable kare.

9 Iske baad next interface me Code enter karne ka option aayega aur sath hi aapke registered mobile number par ek OTP code aayega usse yahapar enter karke next button par click kare.

10 Ab next interface me bottom side me Done option par click kare.

11 Iske baad kuch Recovery codes aayenge to inhe kahi par note kar lijiye.

Iske baad aapke instagram account par twot factor authentication code enable ho jayega aur ab jo bhi aapke instagram account me login karne ki koshish karega to usse ab two step verification code enter karna hoga tabhi aapke account me login kar payega.

Aur two factor authentication code aapke registered mobile number par aayega aur jab tak aap hacker ko vo code nahi de dete hai tab tak vo aapke instagram account me login nahi kar payega, iss tarah se aap apne instagram account ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai.

I hope, instagram account hack hone se kaise bachaye ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)