X
    Categories: ANDROID

Photo Par Gaana Kaise Lagaye Kinemaster Ke Through

How to add mp3 song to photo yani ki photo par gaana kaise lagaye iss post me hum janenge so agar aap apni kisi bhi photo par koi bhi mp3 song add karna chahte hai aur nahi jante ki apni image photo par mp3 audio kaise jodte hai to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.

Google playstore par kai saari aisi photo video editing apps available hai jinke through aap easily apni photo par gana laga sakte hai inn apps me se ek kinemaster ek bahut hi popular aur best photo video editor application hai jiske help se aap easily photo pe music add kar sakte hai.

Aur iss post me mein aapko kinemaster app ke through photo par gaana add karne ke bare me hi jankari dene wala hu, kinemaster photo video editing app ke through kaise aap apni kisi bhi image par mp3 music add kar sakte hai chaliye step by step janate hai.

Photo Par Gaana Kaise Lagaye Kinemaster Ke Through

1 Sabse pehle Google playstore open kare.

2 Iske baad Kinmaster app install kare.

3 Kinemaster app install karne ke baad sabhi Permissions allow kare.

4 Ab kinemaster ke hone page me Create new option par click kare.

5 Iske baad next interface me Aspect ratio 9:16 select karke Create option par click kare.

6 Ab aapki mobile gallery open hogi to yaha se vo Photo select kare jispar song add karna hai.

7 Iske baad kinemaster me photo layer add ho jayegi yahapar;

  • Photo layer select karke length apne according badha sakte hai.
  • Right hand side options me Audio option par click kare.
  • Iske baad apni mobile gallery se save kiya mp3 song select kare.
  • Ab audio layer photo layer ke niche add ho jayegi yahapar audio layer ko select karke photo laye ke barabar cut kare.

8 Iske baad top right corner me Export option par click kare.

9 Ab next interface me resolution aur frame rate set kar sakte hai otherwise HD resolution aur frame rate 30 hi set rehne dijiye.

10 Finally video export karne ke liye Save as video option par click kar dijiye.

Iske baad exporting start ho jayegi aur kuch hi der me aapki photo music ke sath video format me export ho jayegi jisse aap apni mobile gallery me open karke dekh sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki image par music kaise add karte hai agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More