PHONE PE

Phone Pe Account Kaise Banaye 2024

Phone pe account kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap digital wallet payment method phone pay ka use karna chahte hai aur nahi janate ki phonepe account kaise banate hai to iss post me aapko phone pay account create karne ki puri step by step jankari mil jayegi.

Apna phone pe account banakar aap kisi ko bhi online payment send kar sakte hai, mobile recharge aur bill pay ke sath sath aur bhi bahut kuch transanctions kar sakte hai, lagbhag 3 me 1 indian payment send receive karne ke liye phone pay use kar raha hai kyuki phonepe me payments safe and secure aur fast hoti hai.

Phone pay ke through aap mobile number par money transfer kar sakte hai, bank or UPI payment kar sakte hai aur khud ke bank me bhi money add kar sakte hai, iske alawa bahut se recharge aur bill payments bhi kar sakte hai, agar aap nahi janate ki phonepe account kaise create karte hai to niche diye steps follow kare.

Phone Pe Account Kaise Banaye

1 Sabse pehle Google playstore open kare.

2 Iske baad Phonepe app install kare.

3 Phonepe install karne ke baad Open par click karke isse open kare.

4 Iske baad Phone number enter kare.

  • Note:- Phone number aapko vahi enter karna hai jo aapke bank account se linked ho otherwise phone account nahi banega.

5 Phone number enter karne ke baad Proceed option par click kare.

6 Ab apne phone me aaya hua OTP code enter karke Verify option par click kare.

7 Iske baad sabhi Permissions ko allow kare.

8 Ab phone pe ka home page open hoga yahapar top side me apne Profile icon par click kare.

9 Iske baad bank account option par click kare.

10 Ab alag alag banks ki list aayegi yahapar apna Bank select kare.

Iske baad phone pe aapki bank details ko fetch kar lega aur aapka phone account create ho jayega, ab aapko phone pe me KYC karni hai.

Phone Pe Me KYC Kaise Kare

1 Sabse pehle Phonepe app open kare.

2 Iske baad top side me Phonepe wallet option par click kare.

3 Ab next interface me Upgrade wallet option ke samne Resume option par click kare.

4 Iske baad phone pe KYC complete karne ka option aa jayega yahapar:-

  • PAN option ke samne add option par click karke apne pan card ki detail enter karke verify kare.
  • Iske baad Aadhar card detail enter karke verify kare.
  • Aadhar card enter karne ke baad aapka Address fetch ho jayega yahapar Proceed option par click kare.
  • Ab next interface me apne Personal details enter karke Proceed option par click kare.
  • Iske baad Start video verification option par click karke apne pan card ki verification complete kare.

Pan card verification complete hone ke baad aapke phone pe account me KYC process complete ho jayega aur ab aap 2 lack rs apne bank me add kar sakte hai aur bank me paise transfer kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki phonepe account kaise banaye aur phonepe account create karne ke baad phone pe me KCY kaise karte ye bhi aap acche se samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.