PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Online Apply Kaise Kare
PAN card (permanent account number) ki importance kya hai, ye aap acchi tarah se janate honge. Aaj ki date me pan card hona jaruri ban gaya hai, Government (banking/financial/etc) se related kisi bhi kaam me pan card ki copy submit karne ki jarurat hoti hai. Isliye aaj hum janenge ki PAN card kya hai, aur Pan card ke liye online apply kaise karte hai.
PAN Card Kya Hai
PAN card bharat sarkar ke income tax department dwara jaari kiya gaya permanent account number (PAN) hota hai. Iss card me ITD dwara 10 digits ka alpha aur numeric account number taxpayer ko issue kiya jata hai jo ki puri tarah se unique hota hai. Applicant ko pan card banane ke liye form 49A bharkar submit karna hota hai, aur Iske liye 107 rupees ke lagbhag fees submit karni hoti hai. PAN card ke liye baccho se lekar senior citizen tak koi bhi apply kar sakta hai, isme age limit ki koi boundation nahi hai.
PAN Card Ke Liye Kya Kya Documents Chahiye
- Photo of applicant
- Passport
- Voter ID Card
- Rashan Card
- Driving License
- 10th, Ya 12th certificate
- Aadhaar Card
- Electricitiy/Water bill
- Telephone bill
- Arms license
- More detail
PAN Card Kya Hai Aur Kyu Jaruri Hai
Aaj PAN card ki importance bahut jyada badh gayi hai, kyuki bahut se financial transations aur sarkari kaam ke liye hume iski jarurat padti hai, jinme kuch examples niche diye gaye hai.
- Direct tax payment
- Income tax department se kisi bhi taraha ke communication ke liye
- Property sale aur purchase ke liye
- Income tax return (ITR) file karne ke liye
- Vehicles four wheeler/two wheeler ko sale & purchase
- Hotel aur restaurants me 25 thousands se jyada bill payment ke liye
- 50 thousand aur isse jyada RBI bond ke liye
- 50 thousand or isse jyada fix diposits
- Mutual fund ki purchasing ke liye
- Foreign currency purchasing
- etc
PAN Card Kya Hai Aur PAN Card Online Apply Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle www.tin-nsdl.com website me jaye, aur Online PAN Application Click Here link par click kare.
Step 2
Ab ek form open hoga, isse bhare.
- Application type me New PAN – Indian Citizen (Form 49A) select kare.
- Category select kare.
- Apna title select kare.
- Apna pura name bhare.
- Apni date of birth select kare.
- Agar email id hai to yaha bhare.
- Apna 10 digit ka mobile number enter kare.
- Captcha code enter kare.
- Submit button par click kare.
Step 3
Next window me request submit ka message aur ek token number aayega.
- Kisi vajah se abhi register nahi ho to, iss token number se baad me bhi kar sakte hai.
- Continue with PAN Application Form button par click kare.
Step 4
Next window me guidelines tab open hoga, isme niche diye steps follow kare.
- Apna aadhar number enter kare.
- Gender select kare.
- Agar aapka koi alternate name nahi hai to NO par tick kare.
- Fathers name enter kare.
- Mothers name enter kare, ye otional hai isse skip bhi kar sakte hai.
- Next button par click kare.
Step 5
Ab ek personal pan card details form open hoga, isse niche diye steps ke according bhare.
- Apni source of income option par tick kare.
- Communication ke liye office aur residential me ek option choose kare.
- Apna ghar ka address bhare.
- Apne office ka name aur address enter kare.
- Country code select kare.
- Apna mobile number enter kare.
- Agar email id hai to yaha bhare, ya phir skip kar de.
- Representative assessee me No par tick kare.
- Next button par click kare.
Step 6
Ab next page me contact & other details bhare.
- Indian citizens par tick kare.
- State name choose kare.
- Apni city ka name select kare.
- Apna area code select kare.
- Next button par click kare.
Step 7
Agle page me apne document ki detail enter karna hai. Yaha par aapko 3 option milte hai apni aaplication submit karne ke liye.
- Sabhi documents ke sath application post submit karna
- Documents ko scan karke post karna
- Aadhaar card ko online verification karke submit karna
- Upar diye gaye tino options me se aadhar card option best hai isliye (identity proof, address proof aur date of birth proof) tino dropdown me aadhaar card select kare. Agar aadhar card nahi hai to voter id card set kar sakte hai.
- Apna name enter kare.
- Place me apne city/state ka name likhe.
- date of birth select kare.
- Submit button par click kare.
Step 8
Submit button par click karte hi, aapki information submit ho jayegi, Ek baar pura form check kare aur proceed button par click kare.
Step 9
Ab next window me online payment method choose karna hai.
- Online payment through bill desk par tick kare.
- Terms & condition par tick kare.
- Proceed to payment ke button par click kare.
Step 10
Ab jo next page open hoga isme pay confirm button par click kare.
Step 11
Pay confirm button par click karte hi, next window me payment option open hoga.
- Koi bhi ek payment option choose kare.
- Apne card detail bhare.
- Make payment button par click kare.
Iske baad Rs. 107 ki payment karni hai, payment successful hone ke baad aapko ek acknowledgement receipt milegi, iska printout nikal kar apne paas rakh lijiye. Next step me acknowledgement printout ki slip ko apne nearest PAN card center me submit kar dijiye.
PAN card center me slip ko submit karne ke baad aap PAN card status ke iss link par click karke, aur apna 15 digit ka acknowledgment number dalkar apne pan card status ko online track kar sakte hai.
Agar aapne pan card form aur document sahi se submit kiya hai to aapki pan card application form verification ke ek mahine ke ander aapka pan card aapko mil jayega.
PAN card kya hai aut PAN card ko online kaise banaya jaata hai, ab aap jaan gaye hai, agar aapka koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post pasand aayi ho to isse social media par bhi share jarur kare.
accha hai apka jankari to bahot acha hai
aisi jankari to mujhe mili hi nahi
thanks dheeraj
Kya printout jams karna jaruri h
printout submit karne se hi aapka pan card approved hoga. isliye documents ki copy jarur submit kare.
Sir me Shahid mujhe janna chahta ki pencard online aaply karne ke bad uska ricive kisi office me jama karna padta hai
ji ha acknowledgment receipt apne nearest pancard office me aapko khud submit karni hogi
Sir maine pan card online registration kiya payment ke bad 15 dight ka number nhi mila h ab kya kre mera ban card benega ya nhi help me
payment karne ke thodi hi der me aapko ye number receive ho jata hai, agar nahi mila hai to ek bar fir se ye pcocess check kar lijiye.
Sir pan card ke acknowledgement slip m photo lagana jaruri h
aapko aknowledgement slip ke sath related documents aur photo bhi apne nearest pan card center me submit karni hai
great information about pan card service
thanks