Mobile Se Call Karke Aadhaar Card Verification Kaise Kare
According to government order sabhi indian citizens ko apna aadhar card number ko apne mobile number se link karna aniwarya hai. Iss baat ka hum sabhi ko pata hai. Lekin kya aap janate hai ki mobile number se aadhar number link kaise karte hai. Agar nahi to aaj hum iss post me yahi janenge. Aadhaar card verification aap apne android mobile se badi aasaani se kar sakte hai.
Aap kisi shop par jakar bhi apne aadhar number se mobile phone verification karwa sakte ho. Lekin jab aap apne mobile se ek call karke aadhaar card verification karwa sakte hai. To aapko kahi or jane ki jarurat nahi hai. Aap ghar baithe hi mobile se aadhaar card verify karwa sakte hai. To chaliye ab jaan lete hai ki mobile phone number ko aadhar card se link kaise karte hai.
- PAN Card Ke Liye Online Apply Kaise Kare
- Voter Id Card Me Online Correction Kaise Kare
- BHIM App Ka Use Kaise Kare
Mobile Se Call Karke Aadhaar Card Verification Kaise Kare
Fake mobile number se criminals kai prakar ke crimes kar chuke hai. Aur aage bhi kar sakte hai. Ye to aap janate hi honge. Isliye sarkar ki taraf se ye aniwarya ho gaya hai ki hum apna mobile number aadhar number se link kare. Mobile se call karke aadhar card verify kaise karte hai aaiye step by step janate hai.
Step 1
Sabse pehle apne mobile phone se 14546 number dial kare.
Step 2
Ab aapse language select karne ke liye option pucha jayega. Dial pad se hindi ke liye 1 aur english ke liye 2 dabaye.
Step 3
Ab aapse aapki nagrikta ke bare me pucha jayega. Bhartiya nagrik select karne ke liye 1 dabaye.
Step 4
Iske baad aapse aadhaar card number enter karne ko kaha jayega. Apna aadhar number enter kare aur # key press kare.
Step 5
Ab aapke registered mobile number par ek OTP sms code bheja jayega. OTP sms code number enter kare aur # key press kar dijiye.
Ab aapke aapka mobile number aadhar number se link ho jayega. Jiska confirmation sms aapke mobile par aa jayega.
Iss tarah se aap badi hi aasaani se ghar baithe apne mobile phone se ek call karke apne aadhaar number ko link kar sakte hai.
- IRCTC Tatkal Railway Ticket Online Book Kaise Kare
- Vehicle Insurance Kya Hai Jane Puri Jankari
- Health Insurance Kya Hai Isme Kin Kin Baato Ka Rakhe Dhyan
Mobile se aadhaar card verification kaise karte hai ab aap jaan gaye honge. Agar aapko iss jankari se help milti hai to mujhe bahot khushi hogi. Dosto agar aapka koi sujhav hai to comment karke jarur bataye. Aur ye jankari helpful lage to isse share bhi jarur kare.