ANDROID

Mobile Phone Me App Hide or Unhide Kaise Kare

Mobile phone me app hide or unhide kaise kare iss post me hum janenge so agar aap apne phone ki kisi bhi application ko hide karna chahte hai aur hidden apps ko time to time unhide karke use karna chahte hai to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.

Android smartphone me users ko ek aisi setting milti hai jiske through kisi bhi app ko chupaya ja sakta hai aur kabhi use karna ho to phone dialer me ek code dial karke unhide bhi kiya ja sakta hai, agar aap iss security setting ko use karne ke bare me nahi janate to niche diye steps ko follow kare.

Mobile Phone Me App Hide or Unhide Kaise Kare

1 Sabse pehle apne Phone settings ko open kare.

2 Iske baad settings page me Privacy option par click kare.

3 Next interface me privacy protection section me Hide apps option par click kare.

4 Iske baad apna Security password enter karke unlock kare.

5 Unlock karte hi sabhi app list open hogi to inme kisi bhi app ke samne Toggle button par click kare.

6 Click karte hi ek popup open hoga isme Settings option par click kare.

7 Ab next interface me Access code set karke top right corner me Tick mark option par click kare.

  • Code ke aage aur pichhe # enter kare aur beech me apne according koi bhi 4 digits ka code enter kar sakte hai.
  • For example #1234# iss format me access code set kare.

8 Iske baad aapki app list fir se open hogi to yahapar jis app ko hide karna hai iske samne Toggle button ko enable kar dijiye.

Iss tarah se aap apni app list se apne according kisi bhi app ko hide kar sakte hai.

Ab agar hidden apps ko use karna chahte hai to iske liye aapko apne phone ka dialer open karna hai.

Dialer me aapko apna access code dial karna hai for example #1234# dial kare.

Access code dial karte hi aapke samne sabhi hidden apps aa jayegi fir kisi bhi app par click karke aap use use kar sakte hai.

Hidden Apps Ko Unhide Kaise Kare

1 Fir se apne Phone settings ko open kare.

2 Iske baad settings page me Privacy option par click kare.

3 Next interface me Hide apps option par click kare.

4 Iske baad apna Security password enter karke unlock kare.

5 Unlock karte hi sabhi app list open hogi to inme hidden apps ke samne Toggle button ko disable kar dijiye.

Iss tarah se aap apne mobile ki sabhi hidden apps ko wapas unhide kar sakte hai jiske baad applist me fir se hidden applications show ho jayegi.

I hope app samjhe gaye honge ki mobile ki kisi bhi app ko hide or unhide kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.