ANDROID

Mobile Data Kaise Bachaye – How to Save Mobile Data – Reduce Data Usage

Mobile data kaise bachaye aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, agar aapka internet pack jaldi finish ho jata hai ya aapko lagta hai ki jitna data aap use karte hai usse kahi adhik data unnecessary khatm ho jata hai to aap iss post me bataye gaye tarike se apne phone ke data ko save kar sakte hai.

Agar aap ek android mobile phone user hai to aapke mobile phone me bahut si apps pre built hoti hai aur kai aisi applications hoti hai jinhe aap baad me playstore se download karte hai. Aise me agar aap koi bhi internet pack (1gb, 2gb, 3gb/day) use karte hai to ye sabhi apps background me aapka mobile data use karti rehti hai.

Aise me agar aap kisi app ko open nahi bhi kar rahe hai to bhi aapka data vo app background me run karne ki vajah se karti rehti hai, aur aapka unnecessary data use hota rehta hai. Agar aapko apne mobile me data saver on karna hai aur iss tarah ki unwanted data ussage ko stop karna hai to iss post ko dhyan se padhe.

Mobile Data Kaise Bachaye – How to Save Mobile Data – Reduce Data Usage

Agar aapko apne android mobile phone me data usage ko reduce karna hai aur data saver on karna hai to niche diye steps ko follow kare.

1 Sabse pehle apne android mobile phone ki Settings me jaye.

2 Iske baad General management option par click kare.

3 Yahapar bottom side me Data usage ke option par click kare.

4 Data usage me aapko Data saver option par click karna hai.

5 Ab next interface me top side me Off ke samne toggle button ko enable kar dijiye.

Lijiye ab aapka aapka kaam ho gaya hai iske baad ab aapke phone ki sabhi applications me background data usage block ho jayega. Aur koi bhi jabtak aap open nahi karte hai tab tak usme data activity nahi hogi. Open karne ke baad hi uss app me data run karne lagega.

I hope ab aap samajh gaye honge ki mobile data kaise bachaye aur data saver on kaise karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.