Microsoft Excel Me Duplicate Words Kaise Remove Kare
Microsoft excel me duplicate words ko remove kaise karte hai, aaj ki post me hum ye janenge, agar aapki excel sheet me ek badi list hai jiski kai cells me same words ek se jyada bar available hai, yani ki list me duplicate value available ho to inko ek click me remove kiya ja sakta hai.
Agar excel list me available duplicate words ko hum manually remove karenge to isme bahut time lag sakta hai, lekin agar aapdata tab me available remove duplicates function use karenge to yeh kaam seconds me ho jata hai, aur isko use karne se humara kaafi time bhi save ho jata hai.
For example humne ek chhoti list taiyar ki hai jisme kuch names repeat ho rahe hai, jaise ki ramesh, kanishka, aur ajay teen teen baar hai, aur hum isko uniq karna chahte hai yani ki har-ek name sirf ek baar hi reh jaye aur baki duplicate names hat jaye, iske liye niche diye gaye steps follow kijiye.
Microsoft Excel Me Duplicate Words Remove Kaise Kare
Duplicate value ko hatana koi muskil kaam nahi hai ek easy trick se aap isse badi asaani se kar sakte hai, to chaliye step by step jaanate hai ki remove duplicates ka use kaise kare.
Step 1
Sabse pehle excel open kare, aur usme ek duplicate words ki ek list create kare.
- Name list ko select Kare.
- Data tab par click kare.
- Remove duplicates subtab par click kare.
- My data has headers tick box par tick kare agar list me header available hai, agar nahi hai to isse blank rehne dijiye.
- Ok ki button par click kare.
Step 2
Ok button par click karte hi saare duplicate names remove ho jayenge.
??Amazing Remove Numeric Micro
Lijiye friends, ab hum advance excel me duplicate value ko remove karna jaan chuke hai, agar aapko ye tricks acchi lagi ho to isse share jaruru kare.