Facebook messenger par ignore message ko unignore kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu, to agar aapne apne messenger account me kisi friend ki chat ko ignore kar diya hai aur ab aapko wapas usse unignore karna hai to to ye thoda sa tricky hai kyuki jitna easy kisi friend ko ignore karna hai utna easy unignore karna nahi hai.
Messenger par kisi friend ki chat ko ignore karna ho to uski chat open karke top right corner par (i) ke icon par click karna hota hai aur aur jo option aate hai unme ignore message ke option par click karte hi uss friend ki chat ignore ho jati hai. Iske baad vo friend aapki chat list se hide ho jayega aur jab bhi vo aapko message bhejega to iska notification bhi aapko nahi milega.
Lekin kisi vajah se ab aap usse unignore karna chahte hai aur iske liye uss friend ki chat open karke (i) icon par click karenge to vahapar unignore message ka koi bhi option aapko show nahi hoga. Isliye kaise aap wapas apne friend ki chat ko unignore kar sakte hai ye janane ke liye niche bataye gaye easy steps follow kare.
- Messenger Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
- Facebook Par Apne Online Status Ko Hide Kaise Kare
Facebook Messenger Par Ignore Message Ko Unignore Kaise Kare
1 Sabse pehle apna Facebook Messenger open kare.
2 Ab top left side me apne Profile icon par click kare.
3 Ab kuch options aayenge to yahapar Message requests option par click kare.
4 Iske baad jo next interface open hoga isme Spam tab par click kare.
5 Spam tab me aapko aapki ignore chat show ho jayegi to yahapar top right corner me Edit option par click kare.
6 Iske baad ignore friend name ko select kare aur top side me Delete icon par click kar dijiye.
Lijiye iss tarah se aapka friend spam list se remove ho jayega aur uski chat unignore ho jayega, ab jab bhi vo aapko message bhejega to vo aapko receive bhi hogi aur uska notification bhi aapko milna start ho jayega.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook messenger par ignore message ko unignore kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
View Comments (2)
nic post sir and usefull jamkari bhut ache se samjya appne more information Click Link Lb
ye trick kaam nahi kar rahi hain?