Agar aap internet ka use karte hai to aap ghar baithe paise kama sakte hai. Internet se earning karne ke kuch best tarike mein aapke sath share karne karne jaa raha hu. Niche diye gaye inn tariko se aap easily online income kar sakte hai. Chaliye janate hai ki internet se paise kaise kamaye aur kya karna hai online income karne ke liye.
Internet Se Paise Kaise Kamaye Make Money Online
Internet se paise kamane ke liye aap blog bana sakte hai. Ya top social sites jaise facebook, twitter aur youtube me account create karke inn social platforms ka use ghar baithe paise kamane ke liye kar sakte hai. To chaliye niche diye tips ke through janate hai ki internet se earning kaise kare.
Facebook Page Banakar Paise Kamaye
Facebook ek top social networking sites hai. Duniya bhar me jyadatar log iss platform ka use karte hai apne dosto se jude rehne ke liye. Lekin kya aap janate hai ki facebook me page banakar paise bhi kama sakte hai. Agar nahi janate hai to jane ki facebook me page banakar paise kaise kamate hai.
Blog Banakar Paise Kamaye
Blog banakar bhi aap online paise kama sakte hai. Iske liye aapko sabse pehle apna blog banana hoga. Agar aap blog banane ke bare me nahi janate hai to janiye kis tarah se aap blogger me free blog bana sakte hai. Blog banane ke baad google adsense ke ads ya chitika publishers ke ads ko apne blog par add karke paise kama sakte hai. Janiye adsense ya chitika me account banakar paise kaise kamate hai.
Twitter Se Paise Kamaye
Facebook aur google+ ki tarah twitter bhi ek popular social networking sites hai. Agar aapka bhi twitter par account hai aur aur aapke followers ki sankhya bhi acchi khasi hai to aap twitter se earning kar sakte hai. Twitter me sponsored tweet aur contest on twitter ke jariye income kar sakte hai. Agar aap detail me janana chahte hai ki twitter se paise kaise kamate hai to iss link par click kare.
Youtube Se Paise Kamaye
Youtube ek top social video sharing site hai. Aur videos dekhne aur share karne ke liye isko banaya gaya tha. Roz lakho karodo video isme upload, share aur dekhe jate hai. Lekin kya aap janate hai ki youtube se paise bhi kamaye jaa sakte hai. Agar nahi janate hai to mein aapko youtube se income karne ke kuch tariko ke bare me batane jaa raha hu. Pehla tarika hai aap youtube me channel banaye. Channel banane ke baad isme khud ke banaye videos upload kare. Agar aap videos nahi bana sakte hai to youtube ke ek option creative commons ke through bina copyright issue ke dusre ka video upload kar sakte hai. Upload kiye gaye video ko monetize karke adsense account se jode ya adsense ke liye apply kare.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook, twitter, youtube ki help se internet se paise kaise kamaye. Phir bhi aapka koi saval ho ya aapka koi sujhav ho to apne comment ke through humse puch sakte hai. Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share karna na bhule.