X
    Categories: INSTAGRAM

Instagram Your Note New Feature Update

Instagram your note new feature update iss post me hum janenge so agar aap instagram user hai aur instagram ke latest update your thought ke bare me nahi jante hai ki youtube thought feature ka use kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.

Iss new instagram update ke through aap apne thoughts apne instagram friends ke sath share kar sakte hai, jo bhi common message aap apne sabhi friends ke sath share karna chahte hai iss latest instagram update ke through easily share kar sakte hai.

Instagram ke your thought new update kya hai aur kaise aap iss new instagram update your note ka use kar sakte hai chaliye step by step iss post me janate hai.

Instagram Your Note New Feature Update

1 Sabse pehle Google playstore open karke Instagram update kare.

2 Iske baad instagram open karke Inbox (dm section) open kare.

3 Yahapar new update aapko show ho jayega top side me apne Profile icon me Your Note option aa jayega isplar click kare.

4 Ab message box me apna Message enter kare. Maximum 60 characters hi type kar sakte hai.

5 Message type karne ke baad 2 tariko se aap message share kar sakte hai.

  1. Followers you follow back option select karke agar apna thought share karenge to ye message sirf unhi users ko milega jo aapke followers honge aur aapne bhi unhe follow Kiya hoga.
  2. Close friends option ko select karke note share karenge to aapka note sirf aapke close friends ko hi milega.

Iske alawa aapka share kiya thought publicly other users ko show nahi hoga, agar close friends list create nahi kiya hai to 2nd option ke niche drop-down par click karke aap apni close friends ki list create kar sakte hai aur sirf unhi ke sath apne thoughts share kar sakte hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki instagram ka ye new update your thought kya hai aur iska use kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More