Instagram story pe privacy kaise lagaye kaise kuchh selected users se apni story ko aap hide kar sakte hain aur sirf aur sirf apne close friends ko hi kaise apni story show kar sakte hain is post me mein aapko batane wala hu so agar aap instagram user hain aur apni instagram story me privacy add karna chahte hain to is post ko end tak dhyan se jarur padhe.
Instagram apne users ko story me privacy add karne ke options deta hai jinke through koi bhi user apni instagram story pe privacy add kar sakta hai jise chahe use apni story show kar sakta hai aur kisi se bhi apni story ko hide kar sakta hai, agar aap bhi apni instagram story me privacy add karna chahte hain to niche diye gaye easy steps ko follow kare.
Instagram Story Pe Privacy Kaise Lagaye – Instagram Story Privacy Settings
1 Sabse pahle Instagram app open kare.
2 Iske bad bottom right corner me apne Profile icon per click kare.
3 Ab apne profile page ke top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske bad bottom side se kuch options aayenge to inme Settings option per click kare.
5 Ab instagram ke settings page me Privacy option per click kare.
6 Iske bad jo next interface open hoga isme Story option per click kare.
7 Ab next interface me Hide story from option par click kare.
8 Iske bad aap ki Instagram Friend list open ho jayegi to yahan se jis kisi friend se aap story hide karni hai unhe select kare. Jitne bhi friends ko aap yaha se select karenge iske baad se vo aapki story nahi dekh payenge.
9 Ab agar aap apni story ko sirf apne close friends ko hi show karna chahte hai to yahapar Close friends option par click kare.
10 Iske baad next interface me Get started option par click kare.
11 Ab aapko friend list open ho jayegi to isme apne sabhi Close friends ko select kare.
12 Close friends select karne ke baad finally bottom side me Create list option par click kar dijiye.
Aapki close friends ki list create hone ke baad aap jab bhi apni story upload karenge to sharing ke 2 option Your story aur close friends aayenge to agar aapko sirf apne close friends ko hi apni story show karni hai to yahapar Close friends option ko select karke story share kar dijiye.
I hope ab aap samajh aaye honge ki Instagram story par privacy kaise add karte hain, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne doston ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe