Instagram Profile Name Change Kaise Kare
Instagram profile name change kaise kare iss post me hum janenge so agar aap instagram par apna naam change karna chahte hai aur nahi janate ki insta profile name change kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.
Agar aapke profile name galat hai aur aap profile name ko badalna chahte hai to ye kaam aap easily kar sakte hai, apne instagram profile name ko aap kabhi bhi change kar sakte hai aur 14 days ke andar dubara se profile name badal sakte hai.
Ek baar apna instagram profile name change karne ke baad aap 14 days ke andar andar kabhi bhi dubara se bhi name change kar sakte hai aur agar dusri baar bhi galati ho jaye to 3rd time aap apne profile name ko delete karke blank kar sakte hai.
Halanki 14 days ke baad fir se aap apne profile name ko change kar sakte hai, 2 baar apne profile name me changes kar sakte hai, agar aap nahi janate ki instagram par apna naam kaise change kare to niche diye steps follow kare.
Instagram Profile Name Change Kaise Kare
1 Sabse pehle apna Instagram app open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad settings and activity page me Account center option par click kare.
5 Ab account center me Profiles option par click kare.
6 Iske baad apne instagram Profile name par click kare,
7 Ab next interface me Name option par click kare.
8 Iske baad apne profile name remove karke New profile name enter kare.
9 Name change karne ke baad finally Save option par click kar dijiye.
Iss tarah se aap apne instagram profile name ko change kar sakte hai aur agar profile name me kuch key mistake ho gayi hai to dubara se same process karke aap dubara se apne naam ko badal sakte hai.
Lekin dusri baar bhi profile name me galati ho jaye to fir aapko 14 days tak wait karna hoga kyuki tisri baar name change aap nahi kar payenge 14 days ke baad hi apne profile name me correction kar payenge.
Halanki abhi bhi aapke paas ek option available hai aap apne profile name ko delete kar sakte hai, blank profile name add kar sakte hai aur 2 weeks ke baad apna naya profile name enter kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki instagrap par apna naam kaise change kare, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe