X

Instagram Password Recover Kaise Kare – How to Reset Insta Password

Instagram password recover kaise kare aaj iss post me main aapko batane wala hu. Agar aap apna instagram ka password bhul gaye hai to iss post me bataye gaye tarike se apne insta password reset kar sakte hai.

Aksar log apne instagram account ka password bhul jate hai aise me instagram login page me hi instagram password recover karne ka option available hai lekin mostly users ko iska pata nahi hai.

Agar aapko bhi apna insgaram password yaad nahi hai aur apne insta password ko reset karna chahte hai, to niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Instagram Password Recover Kaise Kare – How to Reset Insta Password

1 Sabse pehle apne android mobile phone me Instagram app open kare.

2 Ab aap insgram login page me pahuch jayenge, yahapar Forgotten your login details? ke option par click kare.

3 Next interface me find your account ka option aayega to yahapar aapko apna Username, Email address ya Phone number me se jo bhi yaad ho usse box me enter kare, aur Next ke button par click kare.

4 Ab jo next page open hoga isme aapke samne account access karne ke liye 3 options aayenge. Inme se aap kisi ka bhi use kar sakte hai.

  1. Send ad email.
  2. Send and SMS message.
  3. Log in with Facebook.

5 Agar aap yahapar Send and SMS message select karte hai to next interface aapko confirmation code enter karna hai jo ki aapke mobile phone par ek bheja jayega. Aur code enter karne ke baad finally Next ke button par click kar dijiye.

6 Iske baad aapka instagram account open ho jayega to ab aapko yahapar apne profile icon par click karna hai.

7 Ab top right side me 3 lines par click kar bottom side me Settings par click kare.

8 Next interface me Security option par click kare.

9 Ab agle page me Password option par click kare.

10 Iske baad aapke samne password reset karne ka option aayega. Jisme aapko sabse pehle current password enter karna hai, fir niche ki dono field me new password enter karna hai. lekin aapko password to yaad nahi hoga isliye yahapar Reset it with Facebook option par click kare.

11 Ab jo next interface open hoga isme aapke samne password change karne ka option aa jayega. Yahapar par apna new intagram password enter kare aur dubara se verify kar dijiye.

Iss tarike aap easily apna instagram password recover kar sakte hai, I hope aapko instagra password reset or recover karne ki ye jankari helpful lagi hogi. Post pasand aaye to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More