INSTAGRAM

Instagram Ka Last Seen Kaise Hide Kare

How to hide your last active time in instagram yani ki instagram ka last seen kaise hide kare iss post me hum janenge, so agar aap instagram par apna last active time ko sabhi logo se hide karna chahte hai aur nahi janate ki instagram ka last seen time hide kaise karte hai to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

Instagram par easily aap apna last active time sabhi se chhupa sakte hai lekin agar aap apna instagram last seen time hide karenge to aap bhi dusre logo ka last active time time nahi dekh payenge, agar aap fir bhi instagram par apna last seen hide karna chahte hai to iski jankari ke liye niche diye steps follow kare.

Instagram Ka Last Seen Kaise Hide Kare

1 Sabse pehle apna Instagram open kare.

2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me top right corner me 3 lines par click kare.3

4 Iske baad settings and activity page me Messages and story replies option par click kare.

5 Ab next interface me Show activity status option par click kare.

6 Iske baad next interface me last seen time ke sath sath online activity hide karne ka option aayega yahapar:

  • Show your active status option by default enable rehta hai jisse aapka online status aur last active time publicly sabhi logo ko show hota hai.
  • Public option bhi by default selected rehta hai isiliye aapka last seen time aur online activity public hoti hai.
  • Accounts your follow or have messaged option ko select kare agar aap chahte hi ki aapka online status aur last seen time sirf vo log hi dekh paye jinhe aap ya to follow karte hai ya jinke sath aap chat kar chuke hai.

7 Agar sabhi logo se apna last seen time hide karna hai to yahapar Show your active status option ko disable kar dijiye.

Iske baad instagram par aapka last seen time sabhi logo se hide ho jayega aur sath hi aapki online activity bhi hide ho jayegi aur ab se aapka online status aur last seen time koi bhi nahi dekh payega.

Lekin iske baad aap bhi kisi ki online activity aur last active time ko nahi dekh payenge, agar aap dusre logo ka online aur last seen dekhna chahte hai to iske liye yahapar aapko show your active status option ko enable karna hoga.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki instagram par last active time ko hide kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.