Instagram Ki Full Story Privacy Settings Sikhe – Instagram Story Privacy
Instagram ki full story privacy settings iss post me mein aapko batane wala hu so agar aap instagram user hai aur regular instagram par story upload karte hai to aaj ki ye post aapke liye kafi useful ho sakti hai isliye post ko end tak jarur padhe.
Instgram privacy settings me kai tarah ki alag alag story privacy settings di gayi hai jinke through aap apni story privacy ko apne according customize kar sakte hai kis kisko aapko story show honi chahiye ya nahi honi chahiye ye setting aap easily kar sakte hai.
- Facebook Story Instagram Par Share Hone se Kaise Roke
- Instagram Post Archive or UnArchive Kaise Kare
Instagram Ki Full Story Privacy Settings Sikhe – Instagram Story Privacy
Agar aap apni instagram story par full privacy lagana chahte hai to iske liye aapko Instagram open karke bottom right corner me Profile icon par click karke top right corner me 3 lines par click karna hai.
Ab bottom side me Settings option par click karke Privacy option par click karna hai jiske baad instgram ki alag alag privacy settings aapke samne aa jayengi to yahapar Interactions section me Story option par click kare aur niche diye steps follow kare.
Hide Story From
Iss option par aap jaise hi click karenge aapki instagram contact list open ho jayegi to isme jitne bhi contacts ko select karenge unse aapki instagram story hide ho jayegi aur baki sabhi users ko sho hoti rahegi.
Close Friends
Iss option par click karke aap apni contact list se jistne bhi friends ko select karenge vo aapki close friend list me add ho jayege, aur fir jab aap instagram par apni story upload karenge to sirf close friends ko select karke aap apne close friends ke sath hi story share kar sakte hai.
Allow Message Replies
- Everyone option by default select rehta hai jisse aapki instagram story par koi bhi message kar sakta hai uska reply de sakte hai.
- People you follow option ko select karne se jinhe aap follow karte hai sirf vo hi message kar sakte hai.
- Off option ko select karne se aap apni story par comment or messages ko block kar sakte hai.
Saving
- Save to gallery option ke samne Toggle button on kar denge to instagram par created story aapki mobile gallery me bhi shave ho jayegi.
- Save to archive option agar enable hai to instagram par disappear hone ke baad aapki story archive section me save ho jayegi.
Sharing
- Allow resharing to stories option agar enable hai to koi bhi user aapki feed posts or IGTV videos ko apni story me share kar sakta hai, halaki aapka name aapki share ki gayi post me show hota rahega.
- Allow sharing option agar enable hai to koi bhi user aapki stories ki photos aur videos ko message ke taur par share kar sakte hai.
Share your story to Facebook
Yeh option ke samne agar toggle button enable hai to jab bhi aap instagram par apni story upload karenge to vo automatically aapke facebook account par share ho jayega.
So friends ye vo sabhi options hai jo aapko instagram ki story settings me milte hai aur inhe aap apne according customize kar sakte hai aur enable disable karke apne instagram story par parivacy add kar sakte hai.
I hope, instagram ki story privacy settings ke bare me aap acche se samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.