How to hide your instagram followers or following yani ki instagram followers or following ko hide kaise kare aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap instagram user hai aur instagram par apne followers ya followers ko chupana chahte hai to easily chhupa sakte hai, iske liye bus aapko iss post me bataye steps ko follow karna hai.
Instagram ek top photo video sharing site hai jispar users apni photos aur videos ko publicly iss online platform par share karte hai. Aise me users bhot logo ko iss platform par follow karte hai aur bhot se log unko follow karke unke followers bhi ban jate hai.
Agar aapka instagram par account hai to koi bhi user aapki following aur followers list ko easily dekh sakta hai, issi tarah se koi bhi aapke followers ya followers list ko dekh sakta hai, chahe aap unhe follow kare ya nahi kare.
Aise me bhot se users instagram par apni followers aur following list ko hide karna chahte hai, vajah chahe jo bhi vo nahi chahte ki unki fan following ko dekh sake, isliye agar aap bhi apni instagram followers or following list hide karna chahte hai aur nahi jante ke kaise hide karte hai to iss post ko end tak jarur padhe, to chaliye ab jyada time na lete huye start karte hai.
- Instagram Me Apna Online Status Hide Kaise Kare
- Aapka Instagram Account Hack Hai ya Nahi Aise Kare Check
Instagram Followers or Following Hide Kaise Kare – How to Hide Instagram Followers or Followings
1 Sabse pehle apne instagram account me login kare.
2 Ab bottom right side me apne profile icon par click kare.
3 Profile open hone ke baad top right corner par 3 lines par click kare.
4 Ab kuch options aayenge to yahapar bottom side me settings par click kare.
5 Settings page me privacy option par click kare.
6 Privacy me top me hi aapko private account option show hoga iske samne toggle button ko enable kare.
7 Ab ek popup hoga isme switch to private option par click kare.
Lijiye ab aapka instagram account private account me switch ho gaya hai aur ab koi bhi aisa user jo aapka follower nahi hai vo aapke followers ya following list ko nahi dekh payega.
Lekin iss condition me jo aapke current followers honge vo easily aapke followers aur following list ko easily dekh iss list ko dekh sakte hai. Agar aapko unme se kisi followers se apni list chupani hai to uss user ko aap apni follower list se remove kar sakte hai.
Jitne bhi users ko aap apni instagram follower list se remove karenge vo sabhi aapke followers aur following list ko nahi dekh payenge. To iss tarah se easily apni instagram followers or following hide kar sakte hai.
I hope aap samajh gaye honge ki instagram para apni followers aur following list ko kaise chhupaye. Agar jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
View Comments (1)
Ye Trick kaam nahi kar rahi hain?