X

Instagram All Data Download Kaise Kare Mobile Gallery Me

Instagram all data download kaise kare mobile gallery me aaj iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap instagram user hai aur apne instagram account par share ki gayi photos, videos, messeges, comments, stories, events etc ko apni mobile phone ki gallery me download karna chahte hai to iss post me bataye gaye steps ko follow kare.

Instagram All Data Download Kaise Kare Mobile Gallery Me

1 Sabse pehle apna Instagram account open kare.

2 Ab bottom right corner par apne Profile icon par click kare.

3 Next interface me top right corner par 3 lines par click kare.

4 Iske baad bottom side me Settings option par click kare.

5 Ab jo next interface open hoga isme Security option par click kare.

6 Security settings me Download data option par click kare.

7 Ab next interface me aapki registered email id already add hogi to yahapar bottom side me Request download ke option par click kare.

8 Ab next interface me apna instagram password enter kare aur top right corner me Next option par click kare.

9 Iske baad jo next page open hoga isme bottom side me Done option par click kare.

10 Iske baad 24 se 48 hours ke under aapko instagram ki taraf se email aayegi jisme Download data ke button par aapko click karna hai.

11 Ab aapke default web browser me instagram account login karne ka option aayega to yahapar apna Insta User Id aur password enter kare aur Log in option par click kare

12 Ab next interface me security code enter karne ka option aayega aur sath hi aapke registered mobile number par ek code bhi aayega jisse aapko enter karna hai aur Confirm button par click karna hai.

13 Iske baad jo next interface open hoga isme aapko Download data ke option par click karna hai.

14 Download ho jane ke baad aapko apne mobile ke download folder me jana hai aur downloaded file ko open karna hai.

15 Ab download file me aapko instagram ka all data alag alag folders me mil jayega to inhe aapko pehle top right corner par Unzip option par click karke unzip karna hai.

Lijiye ab aapke samne aapke instagram account ka all downloaded data aa jayega, ab aap one by one karke instagram photos, videos, messages, comments, evetns etc ko dekh sapke hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki mobile gallery me instagram all data down kaise karte hai. Agar ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)

  • you can easily and quickly download the pictures and photographs on Instagram.This application is very easy to use and it allows you to download the pictures of other people from the Instagram.