ADVANCE EXCEL

Insert Chart Ka Use Kaise Kare Advance Excel Me

Hello friends, aaj me aapko advance excel me INSERT CHART function ke baare me batane jaa raha hu. Chart ek esa function hai jiski help se hum data ko graphically communicate kar sakte hai. Aur 11 types (Column, Line, Pie, Bar, Area, Scatter, Stock, Surface, Doughnut, Bubble, Radar) ke use se apne data ko chart me present kar sakte hai. Aur audience ko comparison karne me help milti hai. Chaliye dosto ek symple aur primary table ke according dekhte hai ki iska use kaise karte hai.

Insert Chart Ka Use Kaise Kare Advance Excel Me

 

Insert Chart

Insert Chart

Step 1

Chart banane ke liye sabse pehle workshet me ek table banaye jaisa ki niche image me dekh sakte hai ki student name aur unke total marks.

 

Insert Chart

 

 

 

Step 2

Table ko select kare aur insert function click karke apne hisab se chart ki style choose kare aur ok button press kare. Iske baad image me chart show ho jayega jaisa image me dekh sakte hai.

Shortcuts:-
Table me click karke F11 ya phir Alt+F1 karne se chart generate ho jayega.

 

Insert Chart

Chart Ko Resize Kaise Kare

Niche diye gaye tariko me se kisi se bhi aap chart ko apne according resize kar sakte hai.

Manual Re-Size

Size ko manually change karne ke liye chart par click kare aur jo size aap chahte hai usse set karne ke liye size handles ko upar niche drag kare.

Insert Chart

Specific Re-Size

Specific size aur measurement ke liye chart par right click karne se format tab open hoga ab Format chart area option choose kare, yaha par aap apne according chart ko resize kar sakte hai, shape hight aur shape width box me size dal kar chart ko bada aur chhota kar sakte hai.

Format tab se chart ko cut, copy, paste, move aur font style etyadi ko hum apne according set kar sakte hai.

Insert Chart

Ye Bhi Padhe

Hope aap samajh gaye honge ki advance excel me insert chart ka use kaise karte hai. Phir bhi koi doubt ho to comment karke puch sakte ho. Aur agar aapko ye post acchi lagi ho to niche share button par click karke apne dosto ke sath share jaroor kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.