Agar aap blogger hai to aapko ye acchi tarah se pata hoga ki blog traffic ki kya importance hoti hai. Website ke liye traffic sabse important parameters me se ek hai. Issi ko dhyan me rakhte hue aaj mein aapko bataunga ki blog ki traffic kaise badhate hai.
Website/blog se earning karna chahte hai to aapki site par high quality traffic ka hona bahut jaruri hai. Isliye site traffic ko increase karne ke kuch tarike mein aapke sath share kar raha hu. Agar aap inn tariko ko follow karenge to aapki website traffic kafi improve ho sakte hai, to chaliye start karte hai.
Blog Traffic Ko Increase Kaise Kare Website Traffic Badhane Ke Tarike
Apne blog traffic badhane ke liye niche diye inn 13 tariko ko dhyan se padhe aur follow kijiye.
Ek Accha Logo Design
Ek accha logo aapke blog aur website ki branding ke liye bahut hi important hota hai. Iske sath hi logo aapki new audience ko bhi attract karta hai. Logo ko dekhte hi aapki audience samajh jaati hai ki aapki website kya service provide karti hai. Aur iske sath sath logo humari website ka symbole ka kaam bhi karti hai.
- Schedule Blog Post Kaise Kare Automatically Post Publish Kaise Kare
- Blogger Me About Author Kaise Add Kare
Blog Post Quality
Blog post ke content aise hone chahiye ki audience aapko follow karna pasand kare. Aur vo dusro ke mukable aapko behtar samjhe. Hamesha post content aise likhe ki jaise aap audience se face to face baat kar rahe ho.
Bloggers Talent
Blog ki traffic badhane me ek bahut hi important part hai blogger ka khud ka talent. Aapka talent hi aapki success ki pehli seedhi hai. Agar aapki blogging me acchi pakad hai to audience apko jyada se jyada follow karegi.
Link To Other Post
Jab bhi aap new post publish kare usme apni dusri posts ko link karna na bhule. Esa karne se visitors jab bhi aapki new post me visit karega to aapki other post ki link ko bhi click kar sakta hai jisse ki apki other blog post ke views increase honge.
Create Page On Social Network Site
Blog traffic badhane ke liye social media ek bahut hi accha platform hai. Blog me sabse jyada traffic yahi se generate hota hai. Isliye aap facebook, twitter, google plus etc sites par apni website ke name se page create kare. Aur apni post ko yaha par bhi share jarur kare.
- Blogger Post Body Ke Niche Share Buttons Kaise Add Kare
- WordPress Blog Me WhatsApp Share Button Kaise Add Kare
Add Social Share Button
Blog template me social sharing button ko add karna na bhule. Esa karne se jab bhi visitors aapki post par aayega to inn buttons ki help se vo apne network me bhi post ko share kar sakta hai, isse aapke blog traffic increase hoga.
- WordPress Blog Ki Post Me Featured Image Kaise Add Kare
- WordPress Blog Post Me Colorfull Buttons Kaise Add Kare
Features Post
Infuture aap apne blog me kya kya post karne wale ho, aur aapke new blog plans kya hai. Iske baare me ek alag se post feature post ke name se publish kare. Esa karne se aapke visitors aapse jude rahenge aur bar bar aapke blog par wapas aayenge.
Follow Other Success Blogger
Agar aap online search karenge to aapko pata chalega ki internet par kai successfull blogger available hai. Aap chahe to unko follow kar sakte ho aur unse website traffic badhane ki tips le sakte ho.
Ask Your Friend to Share Your Blog Post
Aapke social media sites jaise Facebook, Twitter etyadi me 50, 100, 200 jitne bhi friends hai. Unko apni blog post ko share karne ke liye kahe, esa karne se aapki traffic badhne me kafi help milegi.
Continue Blogging & Fast Reply
Continue blogging karne se aapke visitors aapse jude rehte hai. Aur unke sawalo ka jawab turant dene se aap unse jude rehte hai aur ek accha relation banta hai. Esa karne se aapke purane visitors baar baar aapki site par aate hai aur new visitors judte rehte hai.
- Online Image Compressor Se Image Size Ko Reduce Kaise Kare
- Google Image Se Copyright Free Image Kaise Download Kare
Add Image In Blog Post
Aap apni blog post me kum se kum 1 ya 2 image add jarur kare. Kyuki search engines media ko content se jyada support karte hai. Jab bhi aap post me media add karte hai to uska namr aur discription dena na bhule. Esa karne se search engine ko aapki image ke baare me samajhne me aasani hogi.
- Adsense Channel Kya Hai Aur Adsense Custom Channel Kaise Banaye
- Low CPC Sites Ko Block Karke Adsense Revenue Kaise Badhaye
Comment On Other Blogger Post
Agar aap dusre bloggers ki post me comment karte hai to aapki backlink comment ke sath add ho jaati hai. Esa karne se dusre blogger ke visitors bhi aapke blog par aate hai aur aapki blog traffic increase hoti hai.
Use Fast Loading Template
Blogger ko chahiye ki apni site ka template user friendly ho eske sath hi desktop aur mobile me aasani se fast load ho jaye. Esa karne se visitors ko bina rukawat ke aapki site par visit karne me aasani hogi. Agar aapka blog template user friendly nahi hoga to visitor increase hone ki bajay decrease ho jayenge.
Other Success Blog Me Guest Post Kare
Agar aap new blogger hai to dusre success blog par guest post jarur kare. Guest post karne se aapko backlink milti hai aur visitors badhte hai. Agar aap hinglish help me guest post karna chahte hai to to janiye ki higlish help me guest post kaise karte hai.
Dosto blog traffic increase karne se related ye jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye. Aur agar ye post helpful lage to isse social networking site par share karna na bhule.
View Comments (10)
http://kaisestartkare.blogspot.in/ i have no trafics
aap social networking sites par account banakar vaha par share kare, social share sites jaise google+, facebook, linkedin, twitter, etc
Hello Dear Sir, This is amazing information, I got inspired after reading your blog post!
Please keep posting such informational blog. So that, people like us will get inspired and implement in real life.
Thanking you.
welcome n keep visiting
ye sabhi chije karta hu fir bhi traific nahi aata hai sabhi chije karta hu . kisi ke blog pe comment bhi karta hu to wo publish hi nahi karte hai . mai bhi ek bloger hu aur maine blogger per ek website banai hai jo hai http://www.youtubehindiblog.tk/ per isme koi traifik nahi hai .
traffic increase karne ke liye inn sabhi tariko ke sath aapko schedule blog post karni bhi chahiye. kyuki search engine scheduled blog ko priority deta hai.
Hello sir, your blogs are very attractive with good presentation.
thanks, keep visiting..
Mere blog par pahale 45' 50' 70 traffic aate the par jane kiya hua ki ab 0'3'4 hi aate hai kiyo solution chahiye
consistently post share kijiye har din, har do din baad ya 3 din baad regularity aapko apne hisab se banayi rakhni hai aur apni post me vo keywords use kijiye jinki search rank high ho iske sath hi alag alag social sites par page create karke unpar apni post share jarur kare ye sab karenge to traffic increase jarur hoga