WHATSAPP

Whatsapp Hack Hone Se Kaise Bachaye – How to Prevent Whatsapp from Being Hacked

How to prevent whatsapp from being hacked yani ki whatsapp hack hone se kaise bachaye, kaise aap apne whatsapp ko pehle se jyada more secure aur more safer bana sakte hai iss post me mein aapko batane wala hu.

Whatsapp hack karne walo me jyadatar humari jaan pehchan wale hote hai jo aapka phone lekar aapke whatsapp web scanner ke through QR code scane karke aapka whatsapp hack kar lete hai jiska aapko pata nahi chalta hai.

Aur aapka vo friend ya janane wala aapki har ek whatsapp activity par nazar rakhta hai, aap kab kisse kya kya chat karte hai usko sab pata chalta rehta hai, aise me agar aapko lagta hai ki koi aapke whatsapp ko bhi iss tarike se use kar sakta hai to iss post me bataye tarike se apne whatsapp ko secure bana lijiye.

Whatsapp Hack Hone Se Kaise Bachaye – How to Prevent Whatsapp from Being Hacked

Agar koi person aapka phone lekar aapke whatsapp ko open karke whatsapp web option me Link a device option par click karta hai to direct aapke whatsapp ka QR code scanner open ho jayega.

Jiske through vo apne phone me whatsapp QR code open karke usse scan kar sakta hai aur aapke whatsapp ko easily access kar sakta hai.

Lekin agar aap niche bataye steps follow karke apne whatsapp par fingerprint lock enable kar lete hai to aapke whatsapp ka QR code scaner direct open nahi hoga jabtak aap apne fingerprint se unlock nahi karte hai, isliye niche bataye gaye steps ko follow karke fingerprint lock enable kar le.

1 Sabse pehle apna Whatsapp open kare.

2 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.

3 Iske baad Settings option par click kare.

4 Settings page me Account option par click kare.

5 Account section me Privacy option par click kare.

6 Ab privacy settings me bottom side me Fingerprint lock option par click kare.

7 Iske baad next interface me Unlock with fingerprint option ke samne Toggle button ko enable kare.

8 Ab aapke samne Fingerprint set karne ka option aayenga to yahapar bataye gaye Demo ke according apna Fingerprint set karke enable kar lijiye.

Iss tarike se aapka whatapp account puri tarah se secure ho jayega aur ab koi bhi aapki marji ke bina aapke whatapp ka QR code scanner open nahi kar payega kyuki open karne ke liye aapke fingerprint ki jarurat hogi.

I hope ab aap samajh gaye honge ki aap apne whatsapp account ko hack hone se kaise bacha sakte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.