FACEBOOK

Off Facebook Activity Setting Kya Hai Kaise Use Kare

Off facebook activity setting kya hai kaise use kare iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur apne facebook account me off facebook setting ki puri jankari pana chahte hai to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.

Facebook browsing karte time jitni bhi ads aapko show hoti hai unme mostly aapki off facebook activity setting ki vajah se hoti hai aise me aapke liye ye janana bahut jaruri ho jata hai ki off facebook activity kya hai aur kaise iss setting ko customise karte hai.

Off Facebook Activity Kya Hai

Facebook ke according off facebook activity aapke interactions ki vo summary hai jo aap alag alag business aur organizations unki websites or apps ke through karte hai.

Yani ki facebook ke outside jitni bhi websites par aap visit karte hai or jitni bhi apps ka use karte hai unn sabhi me aapki jo activity hai usse aapki off facebook activity kehte hai.

Example ke taur par aap shopping sites ya apps me alag alag products search karte hai unhe purchase karte hai, ya alag alag search engines me apne sawal search karte hai, articles padhte hai etc ye sabhi aapki off facebook activity hai.

Jitne bhi businesses or organizations ki sites par aap interactions karte karte hai ya fir apps ka use karte hai vo sabhi aapki iss activity ko facebook ke sath share karte hai aur issi vajah se aapko unse related ads facebook par show hoti hai.

For example aapne kisi shopping site or app me koi product search kiya ya purchase kiya to uss product se related ads facebook par aapko show hona start ho jate hai, aisa off facebook activity ki vajah se hi hota hai.

Off Facebook Activity Setting Kya Hai Kaise Use Kare

FB ki off facebook activity ko manage karne ke kiye aur iss setting ko enable or disable karne ke liye aapko apne facebook account me kya karna hai chaliye janate hai.

1 Sabse pehle aapko Facebook app open karna hai.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Ab next interface me scroll karke bottom side me jaye aur Settings and privacy option par click kare.

4 Iske baad kuch or option unhide ho jayenge inme Settings option par click kare.

5 Ab facebook ki settings page me Security section me Off facebook activity option par click kare.

6 Iske baad next interface me View and manage activity option par click kare.

  • Ab next interface me aapke samne unn sabhi apps aur sites ki list aa jayegi jinka aap use karte hai aur jo aapki activities ko facebook ko share karte hai.
  • Inme se agar kisi business ki off facebook activity ko disable karna chahte hai to uske samne Turn off option par click karke disable kar sakte hai.
  • Lekin agar aapko all off facebook activity ko disable karna hai to yaha se back aaye aur all future activity ko turn off kar dijiye.

7 Back karne ke baad yahapar aapko Disconnect future activity option par click karna hai.

8 Aur next interface me Future off facebook activity option ko disable kar dena hai.

Iske baad aage se vo sabhi websites or apps jinka aap use karte hai vo aapki aapke interractions or activities ko facebook ke sath share nahi karenge aur isse mostly related ads aapko show hona band ho jayenge.

Iss tarah se aap off facebook activity feature ko apne according manage kar sakte hai, i hope aapko ye jankari samajh me aa gayi hogi, agar ye post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.