Gmail account dusre phone me kaiase chalaye iss post me hum janenge so agar aap google gmail user hai aur apne gmail account ko apne another device me login karke use karna chahte hai aur nahi janate ki gmail another phone me login kaise karte hai to ye post aapke liye hi hai.
Apne gmail account ko aap easily apne hi other devices me login karke use kar sakte hai aur dusre phone me bhi google email access karke email receive kar sakte hai or mail send kar sakte hai to iske liye aapko kya karna hai kaise apne gmail account ko another phone me login karna hai chaliye step by step janate hai.
Gmail Account Dusre Phone Me Kaise Chalaye
1 Sabse pehle apne dusre phone me Gmail open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab jo options aayenge inme Add another account option par click kare.
4 Iske baad next interface me Google option par click kare.
5 Ab next interface me apni Gmail id or Registered phone number enter karke Next option par click kare.
6 Iske baad apna Gmail password enter karke Next option par click kare.
7 Ab apne pehle phone me login confirm karne ke liye Yes option par click kare.
8 Iske baad kuch instructions aayengi to yahapar bottom right corner me Yes im in option par click kare.
9 Ab next interface me terms and conditions accept karne ke liye I agree option par click kare.
Lijiye aapka kaam ho gaya iske baad aapke dusre phone me bhi aapka gmail account login ho jayega aur ab aap apne pehle phone ke sath sath dusre phone par bhi apni google mail manage kar sakte hai, dono devices me apne gmail account ko access kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki apne another phone me gmail log in kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.