GOOGLE

Google Photos Download Kaise Kare All Photos at Once

Google photos download kaise kare all photos at once iss post me hum janenge so agar aap google photos par apni mobile gallery ki sabhi photos ka bakup upload karte hai aur apni sabhi google photos ko ek baar me hi apni mobile gallery me download karna chahte hai aur nahi janate ki google photos ki all photos gallery me download kaise kare to iss post me aapko iski puri jankari mil jayegi.

One by one karke aap google photos ki photos ko apni mobile gallery me easily download kar sakte hai lekin agar aap google photos account se sabhi photos or videos ko ek baar me hi download karna chahte hai to aisa koi option google photo me nahi hai lekin iss post me jo trick mein aapko bataunga uske through aap easily all google photos ko ek sath gallery me download kar sakte hai chaliye step by step janate hai.

Google Photos Download Kaise Kare All Photos at Once

1 Sabse pehle Google chrome open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 dots par click kare.

3 Ab jo option aayenge inme Desktop site option ko select kare.

4 Iske baad url bar me Photos.google.com link open kare.

5 Ab apne google photos account me Login kare.

6 Google photos me login karne ke baad apni kisi ek photo ko Long press karke select kare.

7 Iske baad sabhi photos ke top left corner me Circle par click karke select kare.

8 Sabhi photos select karne ke baad top right hand side me delete icon ke samne 3 dots par click kare.

9 Iske baad Download option par click kar dijiye.

Download option par click karte hi google photos account ki sabhi selected photos or videos download hona start ho jayengi aur kuch hi der me aapki mobile gallery me download ho jayengi, sabhi phohtos ki ek zip file download hogi, download hone ke baad photos ko dekhne ke liye niche diye steps follow kare.

1 Apne phone ka My files open kare.

2 Iske baad top side me search bar me downloaded Zip file name enter kare.

3 Ab search bar me Download huyi file par Long press kare.

4 Iske baad bottom side se kuch options highlight ho jayenge inme bottom right corner me More option par click kare.

5 Iske baad kuch option open honge innme Extract files option par click kare.

6 Ab ek popup open hoga isme Select folder option par click kare.

7 Iske baad aapke phone ke alag alag folders aapke samne aayenge inme koi ek Folder select kare.

8 Folder select karne ke baad bottom side me Extract here option par click kar dijiye.

Iske baad google photos ki downloaded zip file extract ho jayegi aur same name se ek folder extract ho jayega, iss folder ko jaise hi aap open karenge aapki sabhi downloaded google photos aapke samne aa jayengi.

Iss tarah se easily aap google photos ki all photos aur videos ko apni mobile gallery me download kar sakte hai.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki google photos ki all photos videos mobile gallery me download kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.