Phone Dialer Pe Lock Kaise Lagaye – How to Lock your Phone Dialer Without any Application
How to lock your phone dialer without any application yani ki phone dialer pe lock kaise lagaye iss post me mein aapko bataunga, agar aap ek android smart phone user hai to aap easily apne mobile phone ke dialer ko lock kar sakte hai vo bhi bina kisi app ke, iske liye aapko niche diye gaye steps ko follow karna hai.
Mobile phone dialer me hi ek aisi setting hai jiske through aap easily phone dialer par lock laga sakte hai, aur iske baad koi bhi person aapko phone lekar kisi ko bhi call nahi kar payega jab tak ki aap usse lock on karke nahi de dete hai, phone dialer ko bina app ke lock kaise karte hai chaliye ab iss post me janate hai.
Phone Dialer Pe Lock Kaise Lagaye – How to Lock your Phone Dialer Without any Application
1 Sabse pehle apne Phone dialer ko open kare.
2 Ab top right corner me 3 vertical dots par click kare.
3 Iske baad jo options aayenge inme Settings option par click kare.
4 Ab next interface me More settings option par click kare.
5 Iske baad next interface me Fix dialing number option par click kare.
6 Ab next page me Enable FDN option par click kare.
7 Iske baad ek popup open hoga to isme apne phone ka Default pin enter karke Ok par click kare.
8 Ab aapke phone me fix dialing number option enable ho jayega, iske baad yahapar FDN list option par click kare.
9 Ab next interface me top right corner me Add option par click kare.
10 Iske baad Contact add karne ka option aayega to yahapar:-
- Name ki field me apne according kuch bhi name enter kare. For example abc.
- Number ki field me koi bhi number enter kare. For example 123.
- Pin2 option me apne phone ka default pin enter kare.
11 Finally top side me Save option par click kar dijiye.
Ab baad aapke phone me fix dialing number add ho jayega aur iske baad aap kisi ko bhi apne phone se call karenge to uss number par call nahi jayegi aur popup open hoga, jisme message hoga Outgoing calls are restricted by FDN.
Iss tarah se aap easily apne android smart phone ke dialer ko lock kar sakte hai jisme baad koi bhi other person aapka mobile phone lekar bina aapke marzi ke kisi bhi call nahi kar payega.
I hope phone dialer par lock kaise lagate hai aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe